Ham Madh-E-Ali (As) Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain
Ham Madh-E-Ali (As) Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain

Katti Hay Zuban Kat Jay Magar
Pegham Zubani Daitay Hain

Ham Madh-E-Ali (As) Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain

Shahid Hay Adain Mesam Ki
Ham Hain Wo Ali (As) Kay Deewanay
Shahid Hay Adain Mesam Ki
Ham Hain Wo Ali (As) Kay Deewanay

Jis Paidh Pay Soli Charta Ho
Us Paidh Ko Pani Daitay Hain

Ham Madh-E-Ali (As) Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain

Peshani Hur (As) Par Yea Keh Kar
Romal Kobandha Sarwar (As) Nay
Peshani Hur (As) Par Yea Keh Kar
Romal Kobandha Sarwar (As) Nay

Jannat Bhi Fida Ho Jaegi
Hamaesi Nishani Daitay Hain

Ham Madh-E-Ali (As) Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain

Qurban Huay Jab Ran Main Habib (As)
Pegham Diya Dunya Ko Ajeeb
Qurban Huay Jab Ran Main Habib (As)
Pegham Diya Dunya Ko Ajeeb

Ham Apni Zaeefi Kay Badlay
Mazhab Ko Jawani Daitay Hain

Ham Madh-E-Ali (As) Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain

Qatil Ko Pilaya Haider (As) Nay
Lashkar Ko Pilaya Sarwar (As) Nay
Qatil Ko Pilaya Haider (As) Nay
Lashkar Ko Pilaya Sarwar (As) Nay

Yea Aesay Gharanay Walay Hain
Dushman Ko Bhi Pani Daitay Hain

Ham Madh-E-Ali (As) Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain

Abbas (As) Nay Pani Chullu Say
Darya Ko Pila Kar Batlaya
Abbas (As) Nay Pani Chullu Say
Darya Ko Pila Kar Batlaya
Mutthi Main Hay Kosar Ham
Khud Hi Daryaon Ko Pani Daitay Hain

Ham Madh-E-Ali (As) Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain

Abbas (As) Ki Turbat Kay Hi Qareeb
Pani Nay Theher Kar Batlaya
Abbas (As) Ki Turbat Kay Hi Qareeb
Pani Nay Theher Kar Batlaya

Main Behta Hoon Tab Abbas (As) Mujhay
Jab Izn Rawan Daitay Hain

Ham Madh-E-Haider Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain

Islam Gawahi Daita Hay
Jab Jab Bhi Zarurat Deen Ko Padhi
Islam Gawahi Daita Hay
Jab Jab Bhi Zarurat Deen Ko Padhi

Ho Khoon Ya Dolat Sarwar (As)
Kay Nana (S) Aor Nani (S) Daitay Hain

Ham Madh-E-Haider Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain

Jab Main Nay Dua Unsay Mangi
Asgar (As) Nay Kaha Na Ghabrao
Jab Main Nay Dua Unsay Mangi
Asgar (As) Nay Kaha Na Ghabrao

Midhat Ka Saharaf Is Bachpan Main
Ham Tumko Bhi Hani Daitay Hain

Ham Mad-E-Ali Main Dar Pay Bhi
Lafzon Ko Rawani Daitay Hain