
Safar Main Naiza Jab Zalim Ne Mara
Giri Naqe Se Ghash Kha Kar Sakina
Khuli Jab Aankh To Manzar Ye Dekha
Hai Godi Main Liye Koi Zaeefa
Tha Chehre Par Naqab Uss Ke
Laga Tha Khoon Hathon Pe
Na Jane Kya Khayaal Aaya
Sakina Ne Kaha Ro Ke
Sakina Ne Ye Kaha Ro Ke
Suno Khamosh Kyun Ho Tum
Hamari Jan Jaati Hai
Tumhare Pass Se Baba Ki Mujh Ko
Khushboo Aati Hai
Sakina Ko Batao Na
Zaeefa Kon Ho Tum
Sakina Par Bohat Din Baad Aisa Waqt Aaya Hai
Kisi Ne Pyaar Se Aaghosh Main Apni Sulaya Hai
Gaye Hain Jab Se Baba Chhod Ke Sab Ne Rulaya Hai
Mere Nazuk Se Rukhsaron Pe Bhari Hath Udaya Hai
Magar Tum Ne Mere Galon Pe Jab Se Hath Phera Hai
Kami Hai Dard Main Tum Se Koi To Rishta Mera Hai
Kabhi Mujh Ko Girane Ke Liye Mara Hai Durre Se
Kabhi Rahwar Dodaya Kabhi Mara Hai Naize Se
Usse Maloom Tha Mar Jaungi Tezi Se Girne Se
Laeen Ne Jaan Kar Mujh Ko Giraya Chalte Naq E Se
Agar Thama Nahi Hota Mujhe Tum Ne Yahan Bibi
Meri Dadi Ki Tarhan Toot Jatein Pasliyaan Meri
Hamesha Se Mera Bistar Mere Baba Ka Seena Tha
Magar Ek Din Phuphi Ke Sath Ye Maqtal Mein Dekha Tha
Mere Baba Ka Qaatil Bhi Usi Seene Pe Baitha Tha
Guloo E Khushk Par Khanjar Se Gin Kar Waar Karta Tha
Laga Hai Jo Tumhare Hath Pe Wo Khoon Kis Ka Hai
Hain Zakhmi Ungliyaan Jaise Kisi Khanjar Ko Roka Hai
Mere Chhine Hain Gohar Taziyane Bhi Lagaye Hain
Gala Rasi Mein Bandha Be Rida Bazaar Laye Hain
Sar E Abbas Ke Aage Tamache Maine Khaye Hain
Safedi Aa Gayi Baalon Mein Itne Gham Uthaye Hain
Zaeefon Ki Tarha Sahara Le Ke Chalti Hoon
Ke Ab Mein Char Barsoon Mein Tumhare Jesi Lagti Hoon
Main Saidaani Hoon Or Is Baat Par Main Fakhar Karti Hoon
Magar Ek Zakham Aaisa Hai Main Jis Se Roz Marti Hoon
Mujhe Dete Hain Sab Sadqa Jahan Se Bhi Guzarti Hoon
Nazar Jab Shimr Aata Hai To Chhup Jaati Hoon Darti Hoon
Jo Burqa Tum Ne Pehna Hai Ye Syed Zadiyon Ka Hai
Batao Kya Yahan Tum Ko Meri Dadi Ne Bheja Hai
Yahan Koi Nahi Aayega Hai Charon Taraf Sehra
Naqab Apna Hatao Dekh Loon Ek Baar Mein Chehra
Na Jaane Kyun Mujhe Yaad Aati Hai Dadi Meri Zehra
Meri Tarah Tumhare Rukh Pe Bhi Kya Zakham Hai Gehra
Mere Chehre Pe Zalim Ki Angothi Ke Nishanon Ka
Zaeefa Wasta Tum Ko Mere In Zakhmi Kanon Ka
Ye Sunte Hi Zaeefa Ne Kaha Mein Teri Dadi Hoon
Tere Baba Ka Khoon Hathon Pe Apne Sath Lai Hoon
Tujhe Rahwar Se Girte Huwe Na Dekh Payi Hoon
Jabhi Tujh Ko Bachane Karbala Se Sham Aayi Hoon
Kaha Zeeshan Or Farhan Bachi Se Ye Zehra Ne
Naqab Apna Hata Doon Gi Na Ab Tum Poochhna Hum Se
Social Plugin