Kabhi khaali hujron mein
Kabhi dehleez par jaa kar
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye

Ae kaash mera kunba
Wapas watan ko aaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye

Pardes jaane waale
Phir laut kar na aaye
O pardes jaane waale
Phir laut kar na aaye
Baithi rahi woh dar par
Bas aas hi lagaaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye

Jab chaand dekhti hai
Woh Eid ka falak par
Haan jab chaand dekhti hai
Woh Eid ka falak par
Kuch chaand apne ghar ke
Sughra (s) ko yaad aaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye

Barhtay hi ja rahe hain
Ranj o alam ke saaye
Barhtay hi ja rahe hain
Ranj o alam ke saaye
Veeraan ghar mein mujh ko
Tanhaai khaaye jaaye

Wada kiya tha mujh se
Aaonga lene behna
Damaa aa gaya labon par
Bhaiyya magar na aaye

Pardes jaa ke Akbar (a.s)
Bhole hain apna wada
Bhaiyya ko yaad wada
Ja kar koi dilaaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye


Akbar (a.s) se jaa ke kehna
Marti hai teri Sughra (s)
Jab Karbala ki jaanib
Yasrab se koi aaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye

Ro ro ke Eid guzri
Nauroz bhi guzaara
Haan ro ro ke Eid guzri
Nauroz bhi guzaara
Bichhde hon jiske apne
Woh Eid kya manaaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye

Haye!
Sughra (s) ne khat mein likha
Bekaar hai yeh jeena
Haan Sughra (s) ne khat mein likha
Bekaar hai yeh jeena
Na maut aayi mujh ko
Baba (a.s) na aap aaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye

Haye Sughra (s)
Shayad Mubahila ki
Phir aa paday zarurat
Haan shayad Mubahila ki
Phir aa paday zarurat
Zahra (s) ki betiyon ko
Shabbir (a.s) saath laaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye

Chehre pe ungliyon ke
Ab tak nishaan hain baaqi
Haan chehre pe ungliyon ke
Ab tak nishaan hain baaqi
Zindaan mein Sakeena (s)
Roti hai moonh chhupaaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye

Tum Ahl-e-Ashqiya kya
Qur'an samajh sako ge
O tum Ahl-e-Ashqiya kya
Qur'an samajh sako ge
Akhtar faqeer ki jo
Baatain samajh na paaye
Sughra (s) ne aansuon ke
Kitne diye jalaaye

Kitne diye jalaaye
Kitne diye jalaaye
Haye Sughra (s)
Haye haye Sughra (s)