TERI ZAHRA PE MUSIBAT KI GHADI HAI Teri zahra pe musibat ki ghadi hai

Haay sayyeda 4

Baba mere baba 5

Teri zahra pe musibat ki ghadi hai 
Haay baba
Teri zahra pe musibat ki ghadi hai 2

Kaise darwaazahataau 
Kaise mohsin ko bachaau
Saas seene me ruki hai

1)haath me jiske mera haath diya tha tumne
Kehke man kunto jise maula kaha tha tumne
Maine har mod pe baba
Saath uska hai nibhaaya
Kya mera jurm yahi hai

2)teri ummat ne banaadi hai ye haalat baba
Koi pasli bhi nahi meri salamat baba
Saas leti hu mai jis dam
Rukne lagta hai mera dam
Sirf marne ki kami hai

3)kabhi darbaar me peshi ko bulaate hai hame
Kabhi darwaaze pe aa aake sataate hai hame
Mere ye phool se bachhe 
Puchte hai yahi mujhse
Kya khata hamse hui hai

Sharm aati hai bhala tumko bataau kaise
Ye tamacho ke nishaa tumko dikhaau kaise
Tum na pehchaan sakoge
Dekhkar mujhko kahoge
Kya meri zahra yahi hai

Ye aziat ye khamoshi nahi dekhi jaati 
Mujhse tanhaai ali ki nahi dekhi jaati
Tera paigham sunane
Haq wilayat ka batane
Zahra ghar ghar me gayi hai

Aapke sog me tareek na dekha gaya ghar
Aag darwaaze pe ummat ne lagaadi aakar
Babajaa baad tumhare
Dekhiye gharme hamare
Roshni kaise hui hai 

Kabre zahra se takallum ye sada aati hai
Kitni sadiyo se meri kabr pe veerani hai
Phool turbat pe chadaake
Ek diya laake jalaake
Kya madine me koi hai