Asghar Ko Le Ke Gaud Mein Kehti Hai Karbala.

Yeh Woh Ali(AS) Hai Jis Ko Kabhi Ghar Nahi Mila.



Cheh Maa Ke Ghareeb Musafir Ko Sonp Ke.

Kehne Lagay Hussain(AS) Yeh Qabar-e-Sagheer Se.

Rakhna Zara Khiyal Mere Tishna Kaam Ka.



Madar Yeh Bain Karti Thi Dil Mein Hai Yeh Kasak.

Sughra(SA) Tumhari Gaud Se Aagosh-e-Qabar Tak.

Asghar(AS) Ko Maut Ne Kahin Rukne Nahi Diya.



Maa Sochti Thi Dhalta Hai Din Ho Rahi Hai Sham.

Jhole Mein Laut Aye Ga Shayad WOh Tishna Kaam.

Lekin Ghazab Howa Keh Woh Jhola Bhi Jal Giya.



Ghaliyon Mein Shehar-e-Kofa Ki Bazar-e-Sham Mein.

Shereen Ke Ghar Kabhi Kabhi Darbar-e-Sham Mein.

Marne Ke Bad Bhi Ali Asghar(AS) Safar Mein Tha.



Nanne Se Sar Ko Naaz Se Bas Takte Rehte The.

Phir Khoon Ro Ke Syed-e-Sajjad(AS) Kehte The.

Main Woh Ali(AS) Hoon Jiska Bhara Ghar Ujar Giya.



Jane Laga Watan Jo Ghareebon Ka Karwaan.

Mur Mur Ke Kehti Jati Thi Ik Khali Gaud Maa.

Rakhiyon Sanbhal Kar Isse Aye Arz-e-Nainwa.



Dar Hai Yeh Phir Se Koi Sina Par Utha Na Le.

Lipta Howa Hai Ab Bhi Woh Seene Se Baap Ke.

Ro Ro Ke Keh Rahi Hai :TAKALLUM: Yeh Karbala.