FARAS KI ZEEN SE faras ki zeen se beshak utar gaye hai husain(A.S) 2
zameen dhoondh rahi hai kidhar gaye hai husan(A.S)

faras ki zen se beshak utargaye hai husain(A.S)

karega shimr ka khanjar to sirf sar ko juda 2
wagar na laashae akbar pe margaye hai husain(A.S)

sare burida kate hot khoon chehre par 2
ajeeb haal me shiri ke ghar aye hai husain(A.S)

mai milne shaam ke zindaa me aaunga tujhse 2
ye baat aakhri beti se kargaye hai husain(A.S)

kahi hai qasimo abbas aur kahi akbar 2
kaha kaha tere tukde pade hue hai husain(A.S)

qaza ke baad bhi bhai behen ke saath raha
jidhar jidhar gayi zainab udhar gaye hai husain(A.S)

kisi ne maara hai pathhar behen ke kya akbar 2
ke karte karte tilawat thahar gaye hai husain