KAR MADAD MERI Sakina Mar Gayi (2)
Haay
Sakina Mar Gayi Zindaa Me Jab Ye Shor Utha
Alam Se Dard Tha Us Gham Har Ek Ka Chehra
Qareeb Lashae Hamsheer Bhai Jab Pahucha
Bandhe The Haath Badan Tauk Se Larazta Tha
Na Uth Saka Jo Janaza Bahen Ka Bhai Se
To Roke Bete Se Sajjad Phir Yeh Kehne Lage

Kar Madad Meri Baqir Beta Hamsheer Ki Qabr Banau Mai (2)

Zanjir Uthaao Tum Meri (2)
Aur Iski Laash Uthaau Mai

Kar Madad Meri Baqir Beta Hamsheer Ki Qabr Banau Mai (2)

Dada Ne Badi Mazlumi Me Tha Dadi Ko dafnaya
Lekin Wo Madina Tha Baqir Aur Yeh Hai Des Paraya
Is Chaar Baras Ki Zehra Ko Gurbat Me Kaha Dafnaau Mai

Kar Madad Meri Baqir Beta Hamsheer Ki Qabr Banau Mai (2)

Jo Gham Se Bhari Thi Madar Ki Nazro Se Chupadi Maine
Ek Saas Thi Jo Gardan Me Rassi Jo Hatadi Maine
Gardan Pe Bane Jo Rassi Se Kaise Woh Neel Chupaau Mai

Kar Madad Meri Baqir Beta Hamsheer Ki Qabr Banau Mai (2)

Mil Jaye Agar Wapis Mujhko Woh Teri Rida Aur Gauhar
Baba Ki Lahad Par Rakhdu Ya Sughra Ko Du Wapas Jaakar
Woh Dono Amanat Hai Teri Batlade Kise Pohchau Mai

Kar Madad Meri Baqir Beta Hamsheer Ki Qabr Banau Mai (2)

Jab Tumko Rihaai Mil Jaye Phupiyo Ko Watan Pahuchana
Reh Lenge Yahi Ham Bhai Bahen Tum Qafla Ghar Le Jana
Dafnaate Huwe Is Bacchi Ko Zinda Me Agar Marjau Mai

Kar Madad Meri Baqir Beta Hamsheer Ki Qabr Banau Mai (2)

Dono Ko Juda Mai Kaise Karu Himmat Hi Nahi Yeh Meri
Hai Aapke Sar Se Lipti Hui Bejaan Yeh Aapki Beti
Kya Saath Sakina Ke Baba Sar Aapka Bhi Dafnau Mai

Kar Madad Meri Baqir Beta Hamsheer Ki Qabr Banau Mai (2)

Taaveese lahad ko band kiya
Abid ne kehkar akbar
Kehdo ye haram se ay baqir
Sab roye yahapar aakar 
Turbat pe chidakne ki khatir '
Ab pani khaase laau mai

Kar madad meri baqir beta hamsheer ki kabr banaau mai