Ya fatimato..(2)
ishfa'ee lana fil jannah

ya karima, ya karima, ya karima..(4)

Aye masooma e qum, aye hamsheer e raza
ya karima, ya karima, ya karima..(2)

1. Raaz ki baat ye ek mujhko samajh aayi hai..(2)
asl me aapki mash'had me shehen shahi hai
qum se milti hai jabhi..(2)
sab ko mash'had ki reza

ya karima, ya karima, ya karima..(2)

2. Aap masooma e qum aur wo janabe zainab..(2)
dono behne hui ma'roof wilayat ki sabab
wo hai hamsheer e husain..(2)
aap hamsheer e raza

ya karima, ya karima, ya karima..(2)

3. Fiqh o irfaan o jafar par hai huqumat teri..(2)
ilm ke shehr hai shehri ye raiyyat teri
ilm ka shehr tera..(2)
uska darwaza tera

ya karima, ya karima, ya karima..(2)

4. Apni manin tumhe wahid o yakta rakha
tumko allah ne is waaste tanha rakha
dono aalam me na tha..(2)
koi bhi ufwu tera

ya karima, ya karima, ya karima..(2)

5. Sin bhi athara baras misle janabe zehra..(2)
teri turbat ka sharaf turbat e zehra jaisa
fatimi naam tera..(2)
zainabi kaam tera

ya karima, ya karima, ya karima..(2)

6. Waasta sayyade mazloom ka tumko bibi
waasta asghar e masoom ka tumko bibi
la walad hai jo unhe..(2)
kardo aulaad ataa

ya karima, ya karima, ya karima..(2)

7. Aapke shehr se tasdeeq e ghulami lekar..(2)
meer jab palta hai chaukhat pe salami dekar
uski qadmo ki taraf
aasma jhukne laga..(2)

ya karima, ya karima, ya karima..(2)