Al- ajal, al-ajal, al-ajal, al-ajal

muntazir kab talak mai rahu ae imaam
meri saanse kahi ho na jaye tamaam

Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye..(2)

Deedar ki aakhri aas mai
Deedar ki aakhri aas mai
Khat likh raha hai ye khadim tumhe

Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye

1. Kijiye qabool aqa mera salaam
Bas ek azadar hai mera naam
Qabeel nahi janta hun magar
kehta hun khud ko tumhara ghulam
Kya hun mujhe khud ye batlaiye

Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye

2. Faryaad e aur istaghase huzoor
Sarkaar sunte to honge zaroor
Bechain khud bhi hai ghaibat me aap
Kab hoga mola batadein zahoor
Humko na ab or tadpaiye
Maula Mehdi aa jayiye, Maula Mehdi aa jaiye

3. Be noor kab se mere nain hai
Tanha azadaar e behrain hai
Kabaa ho ya ke ho Karbobala
Sab aapke gham mai bechain hai
Sarkaar tashreef le aaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye

4. Lafzo se parda hatati nahi
Apna ta’aruf karati nahi
Jab se gaye aap khamosh hai
Aayat ma’ani batati nahi
Raaz e Alif laam samjhaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye

5. Tarteeb marbut ho baat se
Zahir jalalat ho aayaat se
Kehta hai zoq e talawat mera
Likha jo Maula ne khud haath se
Mujko wo quraan padhwaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye

6. Karni hai taskheer sham aap ko
Lana hai haq ka nizaam aap ko
Aye waris e zulfiqaar e Ali
Lena hai jab intaqaam aapko
Gazi ko bhi saath le aaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye

7. Hum jamkaraan or sehlaa gaye
ashko se apne arize likhe
Girya kiya or namaze padhi
Jo the jatan, basme sab karliye
Har jah guzarish thi, aa jaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye

8. Khat apna karta hun is par tamaam
Hai mir bhi aap ka ek ghulaam
Hai sibt e jafar ki bhi iltija
Kije talab ab hame ya imam
Ya aap tashreef le aaiye
Maula Mehdi aa jaiye, Maula Mehdi aa jaiye