Mai shaheed e raahe khuda hu

"karam husain ka mujhpar mazeed hojaye
maru jo farsh e aza par to eid hojaye
ajeeb jazba hai har maa duae karti hai
khuda kare mera baccha shaheed hojaye"

aai hai ek shaheed ki ye khuld se sadaa
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu

wajhe hayaat bangai mere liye qaza
mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu

1. Labbaik ki uth ti thi har ek samt sadaen
khud maut mujhe deti thi jeene ki duaen
tazeem ko phir jhuk gai khud meri nigahen
phir murtuza ne mujhko gale se laga liya

mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu

2. Ye dars mujhe apni shahadat se mila hai
shabbir pe marne me hi jeene ka maza hai
ab taaba qayamat mera ghar karbobala hai
qatra tha apni zaat me darya se jaa mila

mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu

3. So jaan se qurbaan mili kaisi sa'adat
maujood thi baali pe meri shahe wilayat
us dam thi nigahe meri masroof e ziyarat
kab mera dum nikal gaya mujhko nahi pata

mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu

4. Masoom ke anwaar ka yu bangaya zaer
jaise kisi manzil pe pohoch jae musafir
ghaazi se mutahir ne kiya hai mujhe taahir
sab dhul gaye gunaah lahu jab mera baha

mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu

5. Turbat se andhero ka guzar ho nahi sakta
maujood hai masoom hai mahaul kisa ka
matam kabhi hota hai kabhi hota hai girya
mera mazaar sheh ka azakhana bangaya

mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu

6. Mai kaise bhula sakta hu ashoor e moharram
zakhmo se badan choor tha aur karb ka aalam
yaad aagai fitrus ki kahani mujhe us dum
daali nazar husain ne har zakhm bhar gaya

mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu

7. Aye dosto ho laakh mukhalif ye zamana
sar apna kabhi zulm ke aage na jhukana
9 laakh bhi aajae to tum khauf na khana
meri tarah jo tum ko bhi deni hai ye sadaa

mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu

8. Ab meri aizza ke liye hai ye meri baat
jeeta to kaha hoti bhala meri ye auqaat
hai khuld me ghar hurr e dilawar ka mere saath
zarre se mujhko shaah ne suraj bana diya

mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu

9. Paighaam takallum ye zamane ko suna do
rutba jo shaheedo ka hai duniya ko bata do
lau shauqe shahadat ki kuch is tarha badha do
jaa deke har husain ka aashiq ye de sadaa

mai.. khush naseeb hu
haa mai..khush naseeb hu
Mai shaheed e raah e khuda hu..(2)