husainiyo(6)

zamane waalo adab se inhe salaam karo..(2)
tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)

1. Ye zuljanah yeh taboot ye shabih-e-alam
amanate hai ye zainab ke sab khuda ki kasam
inhe sambhal ke rakho na honay do barham
wagarna mehdiye dauraan ko kya bataengay hum
bohot he jald ho parda uthanay waala hai
amanate hai ye jiski woh aany waala hai

tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)

2. Jo hum juloos me taboot leke aate hai
zamanay waalo ko shabbiriyat sikhate hai
bani asad ke qabeele ke had badate hai
shaheed imam ka taboot yu uthate hai.
jise maraz hai aqeede ka theek hojae
jo karbala me nahi tha shareekh hojae

tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)

3. Jo keh rahe hai tabarruk ghata diya jaye
unhe hamara aqeeda suna diya jaye
jo hai woh naam pe sheh ke luta diya jaye
samajh na aaye to yeh mashwara diya jaye
jo be jawaaz hai..(2) un khwahisho ko kam kardo
niyaaz ko nahi aasaisho ko kam kardo

tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)

4. Sanad hai naaqa-e-saleh ka mo'tabar hona
agar naseeb hoo hujjat ka humsafar hona
sharaf ko kam nahi karta hai jaanwar hona
so zuljanah se munkir ye soch kar hona
har ek lehaaz se tazeem ke ye kaabil hai.
ke iska khoon bhi khaake shifa me shaamil hai

tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)

5. Hussainiyat ke nazar me hussainiyaat alam
nabi ke haath se aaya haath o haath alam
hai nasb chauda 14 sadi se labe furaat alam
aur ab imam jo laenge apne saath alam
muqassiro ka kaleja jalaya jaega
jab isko kaabe ki chat par sajaya jaega

tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)

6. Har ek gham ka madawa sagheer ka jhula
hayaat baatne waala sagheer ka jhula
kuch isliye bhi hai aala sagheer ka jhula
ke hai hussain ka jhula sagheer ka jhula
kiya na radd kabhi koi sawali jhule ne
hazaaro jholiya bhardi hai khali jhuke ne

tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)

7. Jahaa jahaan bhi azaa-e-hussain chalti gai
wahaa wahaa ki saqafat me khud bhi dhalti gai
kisi ne karbala manzar kashi se zinda rakhi
kisi ne dappe azaa ki kahi saji mehndi
qabeeley ishq ke..(2) manzil ki samt chalte rahe
hussain ek raha qaafile badalte rahe

tabarukat e hussaini ka ehteraam karo..(2)

8. "takallum" itna hai aali makaam farsh-e-azaa
hai jaanamaaz-e-azaa-e-imam farsh-e-azaa
ali ki beti ka hai inteqaam farsh-e-azaa
kiya hai tune rasoolo ka kaam farsh-e-azaa

yadeediyat me zamane simat gaye hote
na bichta tu too musalle lipat gaye hote


"sunaa makaam-e-sha'ayar to yeh bhi baat suno
samajh ke rasm faqat inko mat sajaya karo
tabarrukaat uthaao magar wuzoo karlo
halaal maal hi inpar lage dhyaan rakho
har ek baat ka dekho hisaab dena hai
hume hussain ki maa ko jawaab dena hai"