Khuda ki pehchan banke jabse mujhe ta'arruf hua hasan ka..(2)
samajh me aane laga hai tab se mujhe bhi kuch kuch khuda hasan ka

Batool e azra ki god me wo nuzool jab kar chuka hasan ka..(2)
Ali ke hoto se kaam lekar khuda ne bosa liya hasan ka

Ali ke pehle hi waaste par khuda ne sunli jo baat meri..(2)
to maine agli dua ki khatir bacha liya waasta hasan ka

Abhi charagho ka silsila to janab e mehdi(a.t.s.f) talak chalega..(2)
Abhi to zehra ke ghar me roshan hua hai pehla diya hasan ka

Laqab badalne se shaam walo kabhi muqaddar nahi badalte..(2)
Faqeer khudko ameer likhle na hoga hum martaba hasan ka

Ye mera jibreel fikr akbar maqam e sidra se kya badhega..(2)
dimaagh chota sha'oor adna mai kya likhu martaba hasan ka

Khuda ki pehchan banke jabse mujhe ta'arruf hua hasan ka
samajh me aane laga hai tab se mujhe bhi kuch kuch khuda hasan ka