ali ali ali ali ali ali..(2)
ali ali..(2)

ali nahi to kuch nahi..(6)

ye keh gaya hai dosto..(2)
har ek nabi har ek wali
ali nahi to kuch nahi..(4)

1. Meri nigaah me to bus ye
khud khushi ka naam hai..(2)
baghair hubbe murtaza
hayaat bhi haraam hai..(2)
ali ka ishq hai agar..(2)
to zindagi hai zindagi
ali nahi to kuch nahi..(4)

2. Ghadeer e khum ki sar zamee pe
aayat o ka zor hai..(2)
mizaaj bezabaan ki
zabaa ka aaj aur hai..(2)
nabi ke saath saath hai..(2)
sada ye jibraeel ki
ali nahi to kuch nahi..(4)

3. Wilayat e ali me
harf harf khud wakeel hai..(2)
shikast e meer e shaam ki
ye mustanat zaleel hai..(2)
hasan ke sulha naame ki..(2)
yahi se ibteda hui
ali nahi to kuch nahi..(4)

4. Baghair zikr e murtaza
azaan jab bhi hoti hai..(2)
sada wo sunke meri
kefiyat ajab hi hoti hai..(2)
pukarti hai us ghadi..(2)
ye khud me meri bekhudi
ali nahi to kuch nahi..(4)

5. Tamaam shab ye soch kar
ajeeb uska haal hai..(2)
idhar ameer e shaam ka
udhar ali ka laal hai..(2)
qareeb e subha hurr ko ye..(2)
sada zameer e hurr ne di
ali nahi to kuch nahi..(4)

6. Batao hum ko dosto
likha hai ishq me kahi..(2)
ali ko maante hai aur
ali ki maante nahi..(2)
faqat zabaa se mat kahe..(2)
saboot de amal se bhi
ali nahi to kuch nahi..(4)

7. Samajh raha hai tu ali se
tune badla leliya..(2)
yazeed tu bhi dekh ab
apne baap ko bhi ye dikha..(2)
utha utha ke haath..(2)
tujhse keh rahe hai matami
ali nahi to kuch nahi..(4)

8. Kaha samajh me aaega
sabak bare faqeer ka..(2)
zahoor hoga meer
jab bhi aakhri ameer ka..(2)
uda uda ke sar..(2)
kahegi fir ye teghe haideri
ali nahi to kuch nahi..(4)
ali ali..(2)