Karbobala Naseeb Se Jaana Naseeb Ho

karbobala nassib se jana naseeb ho

Phir laut kar wahan se na aana
Nassib ho

1) Aisa dare Hussain pe sajda ho akhri x2
Phir mujhko apna sar na outhana Nassib ho..

2) Parvardigar thokarein dar dar ki kab talak x2
Ab mutakil najaf me thikana
Nassib ho

3) Jaisa mila nassib se oummoul baneen ko x2
Ab kya kissi ko aisa gharana
Nassib ho

4) Ji tchahta hai samne bethe ho Panjetan x2
Ounki sanah ounhi ko sounana
Nassib ho

5) Ankhon ko jab bhi ashk bahana nassib ho
Aale Nabi ke gham ka bahana
Nassib ho

6) Mehshar ye arzoo hai ke be ghuslo be kafan x2
Karbobala ki teh me samaana
Nassib ho

Phir laut kar wahan se na aana nassib ho