Bandagi Ki Laag Jo Rakh LE Wo Banda Aur Hai
Jo Tah-e-Khanjar Kiya Jae Wo Sajida Aur Hai.

Khoon Ki Azmat Aur Mathe Ka Pasina Aur Hai (x2)
Ambia Se Kya Taqabal Mera Maula Aur Hai.

Is Liya Chun Kar Sitara Arsh Se Bhaija Gaya (x2)
Kiu K Zuhara Ka Dar-e-Zahra (s.a) Se Rishta Aur Hai.

Ghark  Kar k Bidaaton ko Mere Aansoo Har Baras (x2)
Muftiyon Se Pochhte Hain Koi Fatwa Aur Hai?

Shair Ne Ye Alqama K Pehredaron Se Kaha (x2)
Is Pe Qabza Ho Chuka Kya koi Darya Aur Hai.

Alqama Abbas (a.s) K Chullu Ka Andaza Na KAr (x2)
Tujh Me Paani Hi Nhi Chullu To Gehra Aur Hai.

Apni Palkain Bhi Bichhao Farsh-e-Gham K Sath Sath (x2)
Sab Ka Ana Aur Hai Zahra (s.a) Ka Ana Aur Hai.

Is Liya Aa Kar Wo Eessa (a.s) Ko Parhaen Ge Namaz
Sheer-e-Mariyam (s.a) aur Hai Aur Sheer-e-Zahra (s.a) Aur Hai.

Shair Keh Lete HAin Hum B A “Bilal Kazmi”
Madh-e-Maula Me Magar Measum Ka Lehja Aur hai.