Shahe marda'n shere yazda quwate parwardigar
la fatah illa ali la saif illa zulfiqar

Jo ek baar bana.
Jo ek baar bana hai wo shaahkaar hu mai
zamana jaan le haider ki zulfiqar hu mai

Mai aaj apna ta'arruf tumhe karati hu
hijab apni hi khilqat se mai uthati hu
hasab nasab hai mera kya abhi batati hu
mai misle meesam o salma'n ali ki saathi hu
khuda ne noor ki aatish mein mujhko dhaala hai
falak pe kitne baras kibriya ne paala hai

Ohod ke rann mein meri rasm e roonumayi hui
zamee'n pe pehle hi din kufr se ladayi hui
ali ki quwat e baazu se aashnayi hui
shikast rone lagi aisi jag hasayi hui
khuda ne ghayb se lashkar kushayi di hai mujhe
rasool e paak ne khud mu dikhai di hai mujhe

Har ek jari mere jauhar ka madha khwaan raha
meri kama se jo nikla wo be amaan raha
bashar raha na koi jism par nishaan raha
hamesha jung mein mujhko ye itmnenaan raha
abu turaab ne mujhpar ye aitbaar kiya
palat ke laash na dekhi jo maine waar kiya

Munafiqo ko naye mojize dikhati hu
ali ali ka jaha'n ko sabaq sikhati hu
qaza ko apne isharo pe mai nachati hu
saro'n ko sarr se hawao'n mein mai udaati hu
ali ke haath pe sajda meri ibadat hai
khuda ke haath mein rehne ki mujhko aadat hai

fidak ke roz ye maine kaha tha maula se
mere imaam wigha ki mujhe riza dede
hue hai log jo mujrim janab e zahra ke
har ek ashk ki qeemat abhi chukaenge
kisi ko mujhse mayassar rahe faraar nahi
jigar na kaat ke rakhdu to zulfiqaar nahi

Mai kitni sadiyo se "akbar" usi dayaar min hu
Ali ke sher ke hamraah mei kachaar mein hu
Mai meer e ghaibat e kubra ke ikhteyaar mein hu
mai apne izn e takallum ke intezaar mein hu
kisi zubaa'n se jaha'n al ajal nikalta hai
mayan e sabr mein mera badan machalta hai
zamana jaan le haider ki zulfiqar hu mai..(3)