Husain ka asghar
bade bado se bada hai husain ka asghar

husainiyat ki baqa hai husain ka asghar
bade bado se bada hai husain ka asghar

1. Ghuroor karti thi jis hurmala pe fauj e yazeed..(2)
usi pe rann me hasa hai husain ka asghar

2. Jo maangna hai to jhule ki simt aa jao..(2)
ameer e karbobala hai husain ka asghar

3. Kabhi shaoor ki ankho se padh kitaab e atash..(2)
waraq waraq pe likha hai husain ka asghar

4. Qadam utha nahi paya magar yazeed tere..(2)
qadam ukhaad gaya hai husain ka asghar

5. Bilaal ab meri qaamat ko kaun naapega..(2)
meri jabee pe likha hai husain ka asghar

bade bado se bada hai husain ka asghar