Sayyada, tahera, raaziya, marziya..(2)
Haan wo hai fatima..(4)

Naazil dil e rasool par..(2) jo mojiza hua
Haan wo hai fatima..(4)

1. Charkha jo kaatti hai to burti hai aasma
chakki jo peesti hai to chalta hai ye jahaan
yu haath kibriya ka batati hai jo sada
Haan wo hai fatima..(3)

2. Zehra ki azmato ko kya samjhega ye bashar
hasnain baagh e khuld ke sardaar hai magar
jannat hasan husain ki..(2) hai jiske zere paa
Haan wo hai fatima..(3)

3. Qanoon e kibriya hai ye is kayenat me
shauhar ka rizq likha hai zawja ke haath me
tehreer jiske haath me hai rizq e murtuza
Haan wo hai fatima..(3)

4. Tanzeem e kaynat me haider ke saath thi
mitti khameer hazrat e adam se jo bachi
jisne usi khameer se..(2) hawwa ko di jila
Haan wo hai fatima..(3)

5. Masoom ki hadees hai sab ko hai ye khabar
chawda naqab e noor hai khaliq ke noor par
pehla naqab jo hai rukhe kirdigaar ka
Haan wo hai fatima..(3)

6. Haq to yahi tha hota ta'arruf rasool se
rishte magar khuda ne ginaye batool se
jiske liye nizam e..(2) mashiyat badal gaya
Haan wo hai fatima..(3)

7. Ismat ka rabb ne paas yu rakha kitab me
aayat me bhi zikr kiya to hijaab me
qur'an me jiska naam bhi khul kar nahi liya
Haan wo hai fatima..(3)

8. Mangwa ke do libaase falak ikhteyaar se
jisne hasan husain ki khwahish ke waaste
aayaat lane wale ko..(2) darzi bana liya
Haan wo hai fatima..(3)

9. Akbar ko noor e aale mohd ki hai qasam
duniya me meer koi nahi usse mohtaram
wo jiske ehteraam me uth te ho mustafa
Haan wo hai fatima..(3)