
Ya Mohammad ya Ali..(2)
Fatima, Hasan, Husain..(2)
aagae panjetan aagae..(4)
jab bicha ghar me farshe aza
aagae panjetan aagae..(2)
rashk e jannat hua ghar mera
aagae panjetan aagae..(4)
1. Kaun sajdo ki zeenat banata tujhe
kaun jannat ki jannat banata tujhe..(2)
ae zamee kar ada shukriya
aagae panjetan aagae..(4)
2. Ek uljhan thi pehchanu kese use
kisko dekhu ke khaliq samajh aa sake..(2)
ho gaya hal mera mas'ala
aagae panjetan aagae..(4)
3. Maut par fatha jab paa gai zindagi
uth ke tazeem salma ki mayyat ne ki..(2)
gul madaen me hone laga
aagae panjetan aagae..(4)
4. Dhoom niklega sachaiyo ka abhi
haar manegi qaum e nasara abhi..(2)
pal me hojaega faisla
aagae panjetan aagae..(4)
5. Pehle hi usko jaldi shahadat ki thi
aakhri saans aur tez chalne lagi..(2)
jab ye maqtal me hurr ne suna
aagae panjetan aagae..(4)
6. Misle nehje balagha jo nukte sune
lehja e murtaza me jo khutbe sune..(2)
binte zehra ko dene dua
aagae panjetan aagae..(4)
7. Roze mehshar ke munsib hai aale abaa
faisle inko karne hai meri jagah..(2)
hashr me khud kahega khuda
aagae panjetan aagae..(4)
8. Akbar o qasim o zainab o bawafa
saath sarwar ke pohcha jo ye qafela..(2)
barmala keh uthi karbala
aagae panjetan aagae..(4)
9. Meri nisbat hai ae laal tatheer se
boli aayat ke jaldi se le chal mujhe..(2)
dekh jibreel zere kisa
aagae panjetan aagae..(4)
10. Pehle hi usko jaldi shahadat ki thi
aakhri saans aur tez chalne lagi..(2)
jab ye maqtal me hurr ne suna
aagae panjetan aagae..(4)
11. Unke darr se wafa ka sila mil gaya
jab bhi likha takallum qaseeda naya..(2)
khud badhane mera hausla
aagae panjetan aagae..(4)
Ya Mohammad ya Ali..(2)
Fatima, Hasan, Husain..(2)
Social Plugin