Ya ali maula, maula ya ali maula..(2)
haider haider haider haider

Haider hu mai haider..(2)
Kehte the ali kufe  me ye barsare mimbar
Haider hu mai haider..(2)

Hairan hai duniya kyu mere mojize sunkar
Haider hu mai haider..(2)

1. Suraj mere kehne pe bhala kyu na palat ta
taara meri dehleez pe kaise na utarta
maine hi jalae..(2) the bujha deta mai yaksar
Haider hu mai haider..(4)

2. Mai ghaib hu duniya ko ye idraak nahi hai
haan mujhpe kisi naam ka iflaak nahi hai
bus mujhko samajhte..
bus mujhko samajh sakte hai allah, payambar
Haider hu mai haider..(4)

3. Hai rabb ki sadaqat ke hawale mere basme
qur'aan me allah ne khai mere qasme
'La Raib' laqab hai..(2) mera qur'aan ke andar
Haider hu mai haider..(4)

4. Is baat ki qudrat hai faqat mere qalam me
tasweer banata hu mai madar ke shikam me
takhleeq pe khaliq..(2) ne kiya mujhko muqarrar
Haider hu mai haider..(4)

5. Gar qatl kiya jau to mai qatl na hunga
so(100) baar bhi maut aegi hargiz na marunga
bebas hai mere saamne..(2) ye maut ka chakkar
Haider hu mai haider..(4)

6. Pohche sare meraj nabi jis ghadi logo
bas haath milaane ka waha izn tha mujhko
jee kar ta tha kehdu..(2) mai ye parde se nikalkar
Haider hu mai haider..(4)

7. Maa ne kabhi marhab ki ye marhab se kaha tha
tu laakh bahadur hai magar usse na ladna
maidan me aajae..(2) agar koi ye kehkar
Haider hu mai haider..(4)

8. Tum kisko darate ho yu naam apne batake
wo aur the maidan se jo bhaag gae the
mai aam sahabi..(2) nahi ae marhab o antar
Haider hu mai haider..(2)

9. Jo log samajhte hai mai wallah nahi hu
bus jaanlo sab kuch hu mai allah nahi hu
mabood hai akbar..(2) wo mera khaliq e akbar
Haider hu mai haider..(4)

Ya ali maula, maula ya ali maula..(3)