
Khuld me sabr o ita'at ki rawani fizza..(2)
hai zaeefi me aqeede ki jawani fizza
Aal e imraan ki pakeeza nishani fizza
khud hi hai lafz e wafa khud hi ma'ani fizza
jism kaate nahi hote wo chaman hai fizza
hadd hai zehra ne kaha meri behen hai fizza
Tum ne hasnain ki maa banke hifazat ki hai
tumne qur'aan ke lehje me khitabat ki hai
tumne haider ki tarah deen ki wiqalat ki hai
tumne zehra ke musalle pe ibadat ki hai
Aae jibreel jo qur'aan ki aayat lekar
bayte zehra me gaye tumse ijazat lekar
Turbat e saniye zehra ki mujabir tum ho
yani mastoor me hum soorat e jabir tum ho
ghar me zehra ke ho yu risht se qasir tum ho
saath masoom o ke anwaar ki zaer tum ho
Ye sharaf log kaneezo ko kaha dete hai
fatima zehra ke bacche tumhe maa kehte hai
Chawda(14) sadiyo se bahattar ki azadar ho tum
binte zehra ke liye sayae deewar ho tum
naaz karti hai wafa jispe wo qirdaar ho tum
khana e zehra ki namak khaar ho tum
Har mawaddat ke sahife me tera qissa hai
fatima zehra ke faqo me tera hissa hai
Aake saael ne kabhi darr pe jo dastak dedi
arsh walo ne kabhi aake jo roti mangi
Aagai leke wo darwaze pe khairat e ali
hukm e haider pe farishto ki bhi bhardi jholi
Ye bhi ek teri azmat ka hawala fizza
rizq maula ne tere haath se baata fizza
Kya likhe meer takallum tere ausaaf bhala
aaj islaam ki pehchan hai qirdaar tera
naam lete hai adab se tera sab ehle aza
tujhko zehra ki kaneezi ka sila aisa mila
Jo bhi ab shaam ziyarat ke liye jaata hai
sajda karne teri chaukhat pe zaroor aata hai
Khuld me sabr o ita'at ki rawani fizza..
Social Plugin