Behar-e-Khushnodi-e-Zahra Ho Sana-e-Abbas.

Sarway Toba Se Bhi Aala Hai Liway-e-Abbas.

Bas Alam Khalq Howa Hai Tu Baray-e-Abbas.

Kon Sartaj Wafa Ka Hai Siway-e-Abbas.

Jab Tak Iss Shair Ka Ik Naqsh-e-Qadam Baqi Hai.

Youn Samajhiye Ke Wafaon Ka Bharam Baqi Hai.



Nazd-e-Gehwara-e-Abbas Jo Shabir Gaye.

Dekh Kar Chehra-e-Molood Sana Karne Lagay.

Our Jabeen Dekh Ke Abbas Ki Phir Youn Bolay.

Keh Do Yeh Ja Ke Ibadat Se Ke Woh Aah Bharay.

Iteba Our Itaat Ka Nizam Aaya Hai.

Mazhab-e-Zabt-o-Shujat Ka Imam Aaya Hai.



Dekha Haider(AS) Ne Jo Shabir Ka Abbas Se Pyar.

Muskura Kar Kaha Betay Se Padar Tum Pa Nisar.

Chotay Bhai Ka Koi Naam Bhi Rakha Zeenihar.

Ki Hussain Ibn-e-Ali(AS) Ne Yeh Ali Se Guftar.

Ewaz-e-Tauheed Ka Akas Kahein Gaye Inn Ko.

Baba Hum Aaj Se Abbas(AS) Kahein Gaye Inn Ko.



Koi Abbas(AS) Ke Kirdar Ki Kya De Ga Misal.

Inn Ki Aankhon Mein Hai Quran-e-Muhabbat Ka Jamal.

Hai Khiyal Inka Wohi Jo Hai Imamat Ka Khiyal.

In Ke Kirdar Ki Rifat Mein Nahi Koi Sawal.

Aisi Rifat Ke Jahan Sarhad-e-Ismat Mil Jaye.

Do Qadam Aagay Barhe Our Imamat Mill Jaye.



Yeh Mawaddat Ke Gulistan Ki Be-Misal Bahar.

Woh Chacha Hai Jo Bhatiji Ki Adaon Pa Nisar.

Aas Bachon Ki Bhi Our Ahl-e-Haram Ka Hain Hisar.

Aaj Bhi Foaj-e-Hussaini Ke Hain Parcham Bardar.

Yeh Alam Choom Ke Janat Ki Hawa Pao Gaye.

Iss Mein Tum Door Se Khushbo-e-Wafa Pao Gaye.



Soch Kar Hath Lagana Yeh Hai Ghazi(AS) Ka Alam.

Qalab Ko Paak Banana Yeh Hai Ghazi(AS) Ka Alam.

Zehan Ka Rijs Hatana Yeh Hai Ghazi(AS) Ka Alam.

Tab Kahin Issko Uthana Yeh Hai Ghazi(AS) Ka Alam.

Warna Kufar Se Jab Jang Mein Takrao Gaye.

Tum Bhi Maidaan Mein Alam Phaink Ke Bhag Aao Gaye.