yabnaz zahra yaa abbas..(2)

mai ain se hussain ka aashiq bhi ishq bhi
be se hu buturab ki mai hasrate bhi
zahir alif se hai abu talib ki aa gahi
aur seen se hasan ki samaj bujh sath bhi

abbas dekhne mei faqad mera naam hai
darasl yeh hussain ke lashkar ka naam hai

abbas naam hai mera..(3)

maanga hai rab se maalike kaunain ne mujhe
beta kaha hai maadar e hasnain ne mujhe

1. asma e panjetan ka asasa hai mera naam
alfaz hai tawaaf me kaaba hai mera naam
israar aur ramuz ki duniya hai mera naam
khud mustafa ki beti ne mera naam
bejaan nahi hai harf koi mere naam me
simti hui hai naade ali mere naam me

2. tauheed ko hai naaz khudae wafa hu mai
mushkil kusha ka laal hu mushkil kusha hu mai
barso jabeen e shere khuda me raha hu mai
dohraya jab ali ko khuda ne bana hu mai
khilqat mei meri dakhl nahi maao teen ko
tohfa hu mai batul ka ummul banin ko

3. qehre khuda ki bolti tasweer meri tegh
rooho pe maut karti hai tehreer meri tegh
tegho me misle aaya e tatheer meri tegh
toofaane nuh khwaab hai taabeer meri tegh
ismat ki pehredaar hai tatheer ki qasam
yeh choti zulfiqar hai shabbir ki qasam

4. talwar meri jaaegi ran me jidhar jidhar
baarish waha pe hogi saro ki sarar sarar
ashal k paav peesege tumko karar karar
dekhegi maut khud yeh nazaare tukar tukar
san san ki saut aisi sama'at me chaegi
dhad dhad girege dhad na sada tumko aaegi

5. mai chahta hu quwat e baazu pe jang ho
dekhu to tumko kitney bahadur ho shamiyo
manzur yeh nahi hai to khud faisla karo
dikhlau maujizat mai apne jo tum kaho
darya pe haath dhoge abhi tum hayaat se
apne saro ko kaatoge khud apne haath se

6. aise karunga waar sambhal ne na dunga mai
pehlu bhi tumko aaj badalne na dunga mai
talwaar kya zabaan bhi chalne na dunga mai
nazro ke daaere se nikalne na dunga mai
meri hai kaaenaat kaha bachke jaaoge
sunlo jaha chipogey waha mujhko paaoge

7. tumko ghamand fauj pe qasrat pe hai gurur
in baazuo ke zor ka tumko nahi shauur
pal me nikaal dungaa mai zehno ka har futoor
dozakh ka naam aaj se hoga yazidpur
hum kehke yaa ali jo abhi tegh uthaege
murde tumhaare zere kafan thar tharaaege

8. mashur hai yeh baat khuda ki khudaai me
maahir hai meri tegh safo ki safaai me
tum kya mai do jahaan dubo du taraai me
daste khuda ka zor hai meri kalaai me
chahu toh baithe baithe mai ash'al ki zeen par
lehra ke aasmaan ko ulat du zameen par

9. aalam tha tera saal me aisa jalaal ka
siffin me badal diya naksha jidaal ka
ab toh shabaab aaya hai mere kamaal ka
abbas aaj ho gaya battees(32) saal kaa..(2)
sun lo qaza ke ghaat utaaruga mai tumhe
ghera hai tumne gher ke maarungaa mai tumhe

10. dunya na samjhi mir takallum yeh falsafa
parcham hai surkh gumbade ibne batul ka
yaani ruki nahi hai abhi jange karbala
aur aa rahi hai roza e abbas se sada
rokega mujhko tab na nawaasa rasool ka
mehdi ke saath loonga mai badlaa batool ka