Ae rabbe panjetan..(3)
meri tujhse hai ye dua

1. Parwardigar tu hi rahim o karim hai
quran keh raha hai ali o azeem hai
awaze qul se pehle hai itna qadeem hai
ae rabbe panjetan..(2)
wajib hai kaenaat pe har dam teri sanaa

2. Chaha jo tune khalq me pehchaan ho teri
tune banai 5 sitaro ki ek ladi
unki raza me teri raza hai chupi hui
ae rabbe panjetan..(2)
naraaz hum se ho na kabhi aale mustafa

3. Tanhaiyo ka teri raha hai jo hamsafar
wo mustafa jo baad tere sabse motabar
hai qarz jiska ajr e risalat jahan par
ae rabbe panjetan..(2)
har qarz karde ghaib se maqrooz ka ada

4. Tujhsa ali bhi kehta hai khaliq jise ali
ungli pakadke jiski shariat teri chali
raziq hai do jahaan ka waliyo ka hai wali
ae rabbe panjetan..(2)
sadqe me uske rizq me ho wus'ate ataa

5. Wo fatima hijab bhi noori mila jise
hasnain jaise jisne pisar paal kar diye
rehmat bani jo rehmate aalam ke waaste
ae rabbe panjetan..(2)
tute na momineen se rehmat ka silsila

6. Wo mustafa ka laal jo dee ko bacha gaya
tegho ko apne zor e qalam se hara gaya
amno amaa ka dars jaha ko padha gaya
ae rabbe panjetan..(2)
har samt uske sadqe me ho amn ki faza

7. Mabood wo husain jo mehboob hai tera
sar kaat kar bhi jiska na zalim jhuka saka
jisne zamee ko arsh e mo'alla bana diya
ae rabbe panjetan..(2)
dikhla de hum faqeer o ko roza husain ka
ae rabbe panjetan..(2)

8. Mushkil ko taal halle masaeb ko bhej de
hai jiske muntazir usi saheb ko bhej de
mushkil kusha ke akhri naeb ko bhej de
ae rabbe panjetan..(2)
hai sibt e jafar aur hasan ki ye ilteja

Ae rabbe panjetan..(3)
meri tujhse hai ye dua
Allah Allah Allah
Allah Allah Allah