Inhi se chali thi khuda ki khudai..(2)
Inhi par khudai ki had hogai hai

Do aalam me aale nabi he ke jin par
khuda aashnai ki had hogai hai

1. Kisi dam bhi sona nahi jisko bhata
use iska sona kucha aisa hai bhaya
mili iski marzi to sone ke badle
rizaye khuda leke jibreel aaya
nabi bhi bachaya..(2)
rizaye bhi leli
ali ki kamai ki had hogai hai


2. Khuda o Ali jante hai woh manzil
bulaya tha Ahmed ko rabne jaha par
Chala farsh se sue arsh e bari par
ruka qafela teesre aasmaa par
kaha phir nabi ne jibreel jao
tumhari rasaai ki had hogai hai.

3. Khuda ne banaya hai aale nabi ko
inho ne khuda ki khudai bachai
agar tum meri baat se muttafiq ho
to phir mujhko ye baat kehne do bhai
udhar kibriyai ki had hogai
idhar na khudai ki had hogai hai

4. Hum aale mohd ke shia hai logo
batana hai humko ye apne amal se
magar hum ye afsos se dekhte hai
khushi ki mahafil ho ya gham ke mauke
kahi beridai ki had hogai hai
kahi khud numayi ki had hogai hai

5. Ohad ki ladai ho ya jung e khaibar
har ek ko safai se  kata hai tune,
teri dastaras me jo aaya hai usko
barabar ke hisso me baata hai tune
Aye teghe Ali tere qurbaan jau
ke tujh par safai ki had hogai hai

6. Wo kaaghaz ke maidaa me lafzo ka lashkar
na laashe gire aur na kaate gaye sar
Faqat chand satro ki tehreer likh kar
kalam se ladai ye jeete hai shabbar
Kaha dekh kar  zulfiqar e Ali ne
hasan par ladai ki had hogai hai

Inhi se chali thi khuda ki khudai
Inhi par khudai ki had hogai hai