(Matam hai ye meri baqa, karte rahenge ham sada) x2 
  
(Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge) x3 
(Ham sina zani sham-o-sahar) x2 Karte rahenge 
(Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge) x2 
Ay sani-e-zehra teri, sunnat hai ye matam 
Apne jo aqeede mei ibadat hai ye matam 
  
(Har haal mei ye farz ada) x2 Karte rahenge 
(Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge) x2 
Jisne teri chadar pe fida, kardiye bazu 
Kehti hai jisse bibi, alamdar-e-wafa tu 
(Har ghar tere ghazi ke alam) x2 Sajte rahenge 
(Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge) x2 
Dohraayenge pyaase tere, Asghar ke kahani 
Ta hashr jisse rowenga, daryao(n) ka paani 
  
(Har ghunt pe ham yaad usse) x2 Karte rahenge 
(Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge) x2 
Jo aag liye khana-e-zehra pe the aaye 
Khayaam jinho ne tere, karbal mei jalaaye 
(Wo naar-e-jahannam mei sada) x2 jalte rahenge 
  
(Zainab tere Hussain ka gham karte rahenge) x2 
Bibi tere beto(n) ke, biradar ke lahu se 
Roshan jo huwe aal-e-payambar ke lahu se 
(Wo deep haawaao(n) mei sada) x2 Jalte rahenge