naatawan aur qaid may, haay beemar haay haay sajjad
sajjad pe wo kaisi qayamat ki ghadi thi
jab sani-e-zehra sare darbaar khadi thi
sajjad pe wo kaisi ....

haathon pe tha masoom sakina ka janaza
aankhon may lagi khoon ke ashkon ki ghadi thi
sajjad pe wo kaisi ....
jab sani-e-zehra sare....

sar ko wo jhukaaye huwe har mod se guzre
tapta huwa sehra tha aur dhoop kadi thi
sajjad pe wo kaisi ....
jab sani-e-zehra sare....

kaanton ko rulaati thi teri aabla paayi
zanjeer bhi roti thi jo paaon may padi thi
sajjad pe wo kaisi ....
jab sani-e-zehra sare....

zindaan ke andhere may tanha thi sakina
aankhon may uske kaisi ashkon ki jhadi thi
sajjad pe wo kaisi ....
jab sani-e-zehra sare....

shah najm ne band kardiye is pe sukhan tamaam
izzat bhi badi thi to musibat bhi badi thi
sajjad pe wo kaisi ....
jab sani-e-zehra sare....