zindaan hai lahad meri kurta hai kafan mera
karna yahi janaza sajjad dafan mera

mai baap ke seene pe bade chain se soti thi
ab khaak ke bistar pe dukhta hai badan mera
zindaan....

sajjad se kehti thi zindaan se reha hokar
tum jaana madine ko hai shaam watan mera
zindaan....

kehna ke chine gauhar khaaye hai tamache bhi
ay bhai agar pooche akbar ki behan mera
zindaan....

kokh ujdi hai maadar nam aankh hai khwahar ki
asghar ke bina bhaiya soona hai sehan mera
zindaan....

baba na chacha akbar qasim na ali asghar
ek din may ujaada hai ummat ne chaman mera
zindaan....

jawaad ye kehta hai sadqe may sakina ke
sadaat ke gham se hai wabasta sukhan mera
zindaan....