(Shaame gharibaan) x2 jalte khaima, (yaas ka aalam) x2

Koi yahaan karta tha nawha (aur koi matam) x2
Naade ali parhne lagi zainab (dasht mein jis dam) x2

Haay, Fizza ne kiya marsiya ya haidare karrar

(Ujar gaya hai zainab ka ghar baar) x3

    Subhe daham se asr ke hangame balaa tak
    Baiyat se chali baat to aapohnchi rida tak
    (Zainab ko yaqeen hogaya) x2
    Ya Haidare Karrar

    (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
    Roti rahi woh alqama aur pyaase rahe hum
    Saadat ne paya yahaan har lamha naya gham
    (Har zakhm par aisa laga) x2
    Ya Haidare Karrar


    (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
    Kya waqt tha pardes mein aulaade nabi par
    Khaime se jo marne chale ham shakle payambar
    (Shabbir ne ro kar kaha) x2
    Ya Haidare Karrar

    (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
    Is se bari ab aur kya aayegi qayaamat
    Khud baap le kar aagaya jab bete ki mayyit
    (Ro kar pukaari Karbala) x2
    Ya Haidare Karrar

    (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
    Ujre nahin pardes mein yun kunba kisi ka
    Matam huwa jab dasht mein abbase jari ka
    (Roya alam royi wafa) x2
    Ya Haidare Karrar

    (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
    Auno Muhammad hogaye maqtoole jafa jab
    Beton ke laashe dekh ke ye kehti thi Zainab
    (Lo dekhlo aakar zara) x2
    Ya Haidare Karrar


    (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
    Aqa tumhaare laal pe jab chalta tha khanjar
    Royi zameene karbala ye marsiya parh kar
    (Ya Mustafa ya Fatima) x2
    Ya Haidare Karrar


    (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
    Ab na yahaan Shabbir hai na baaqi he lashkar
    Bas karbala ki khaak he aur aale payambar
    (Ehle haram ki he buka) x2
    Ya Haidare Karrar


    (Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3
    Ab "Mazhar-o-Irfan" ke aayi he labon par
    Jo baat fizza ne kahi is jalti zameen par
    (Hojaaye ye dunya fanaa) x2
    Ya haidare karrar


(Ujar gaya he zainab ka ghar baar) x3