
(Chehlum karke hussain ka) x2
Maqtal se chala kaafila
Zainab ne di sadaa
Ay mere sajjad sun kafla salaar sun
Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa
Haay - Majlise chehlume shabbir sare dashte bala
Kar chuke ehle haram girya o maatam barpa
(Kaasimo akbaro abbas ka pursa bhi diya) x2
Ye to sab hogaya ek kaam bacha he tera
Ay mere sajjad sun kafla salaar sun
Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa
Haay - Jaanti hun ke ghamo ranj se lachar he tu
Yaad mein baali sakina ki giriftaar he tu
(Meri tarha se bahattar ka azadar he tu) x2
Kaarwaane shahe mazloom ka salaar he tu
Ay mere sajjad sun kafla salaar sun
Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa
Haay - Yun to ye kaam bhi karsakti hun mein tashna jigar
Qalbe zainab ki yehi aakhri khwahish he magar
(Ek imam aaya tha hum sab ko watan se lekar) x2
Ek imam apne dilafghaaron ko lejaaye ghar
Ay mere sajjad sun kafla salaar sun
Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa
Haay - Apne nana ko ye rudad sunane ke liye
Zakhm pardes mein jo paaye dikhaane ke liye
(Dadi zehra ko har ek baat bataane ke liye) x2
Fatima Sughra ko seene se lagaane ke liye
Ay mere sajjad sun kafla salaar sun
Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa
Haay - Wada Shabbir ka he beta agar yaad tujhe
Dil se ay beta bhulaani he har uftaad tujhe
(Laaj rakhni he meri sayyade sajjad tujhe) x2
Phir se nana ka shehr karna he abaad tujhe
Ay mere sajjad sun kafla salaar sun
Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa
Haay - Naqsh is dil pe mere laal musibat he teri
Ruh ke zakhmon men pewast azziat he teri
(Jo hua so woh huwa beta ye kismet he teri) x2
Ab bhi nana ke madeene ko zaroorat he teri
Ay mere sajjad sun kafla salaar sun
Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa
Haay - Dekh ay laal ye tujhko bhi he mujh ko bhi yaqeen
Khoon royegi mere haal pe yathrib ki zameen
(Fatima Sughra ka mein saamna karsakti nahin) x2
Isliye kehti hun tujhse ay mere maah jabeen
Ay mere sajjad sun kafla salaar sun
Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa
Haay - Haaye kya mazharo irfan qayamat thi bapa
Peet kar seena o sar karte the saadat buka
(Baap ki kabr se woh kaafla salaar utha) x2
Thaam kar baazue sajjad jo zainab ne kaha
Ay mere sajjad sun kafla salaar sun
Ye hussaini kaafla tu watan tak leke jaa
Social Plugin