(Ya hussain, ya hussain, hussain) x2

(Zehra sa pehenji majlis mei, aj shaah-e-shaheeda aayo aay) x2

Ho aj shaah-e-shaheeda aayo aay

(Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x3

    (Jab chaand muharram ka dekha, aankho(n) se bahaaye ashk-e-aza) x2

    Matam huwa, parcham bhi saja

    Dil rodiya, karke ye bukaa

    Hussain ya hussain

    (Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2
    (Ik jhula sajaakar chota sa, Asghar ki pyaas ko yaad kiya) x2

    Phir shaah ko, us kamsin ka

    Pursa diya, aur nawha kiya

    Hussain ya hussain

    (Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2
    (Taboot sajaya jab mene, hamshakl-e-payambar ka rokar) x2

    Aisa laga, karti hai buka

    Akbar ki maa(n), dekar ye sada

    Hussain ya hussain

    (Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2
    (Mehendhi jo sajaayi qasim ki, nawshaah ka sehra aise parha) x2

    Sehra tera, ashko(n) se bana

    Har ashk ne, ye nawha kiya

    Hussain ya hussain

    (Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2
    (Wo chote chote surkh alam, jab nasb kiye to dil ne kaha) x2

    Phele alam, un bacho(n) se

    Zainab ne jo, kurbaan kiye

    Hussain ya hussain

    (Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2
    (Do baaliyaa(n) aur ik mashkiza, ghazi ke alam ke saath rakha) x2

    Ik alqama ankho(n) se chali

    Yaad agayi, phir pyaas teri

    Hussain ya hussain

    (Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2
    (Taboot sajaya jab tera, ay shaah-e-shaheeda tashnadahan) x2

    Maa(n) sayyeda ki aayi sada

    Zakhm-e-jigar, phir taaza huwa

    Hussain ya hussain

    (Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2
    (Phir eik sabeel banaayi gayi, pyaaso(n) ki pyaas pe rote huwe) x2

    Kuze rakhe, paani bhi rakha

    Har kuze par, tera naam likha

    Hussain ya hussain

    (Aj ghar mei pehenje maula jo, mu(n) farsh-e -aza, bichaayo aay) x2
    ("Irfan" aur "Mazhar" ki jannat, hai majlis matam farsh-e-aza) x2

Hai bandagi, Ye farsh-e-aza

Aur zindagi, matam hai tera

Hussain ya hussain