Haye sakina ki ghareebi..(2)
baap ko khwaab mein dekha to pukari dukhtar
aap jis din se gaye..(2)
aye mere mazloom padar
phir iske baad kaha'n soyi sakina
umr bhar royi sakina..(2)
phir iske baad kaha'n soyi sakina, baba
umr bhar royi sakina..(2)

1. Aap maqtal ko sidhare to hui khaak basar
raakh sab khaime hue jalke phuphi bechadar
tumne pehnaye the jo..(2)
le gaya zalim wo gauhar
phir iske baad...

2. Bhoolna chaha bhi lekin na bhula payi wo baat
naqsh is dil pe hue hai wo sukoo ke lamhaat
aapke seene pe mai..(2)
soyi thi ashoor ki raat
phir iske baad...

3. Mere rukhsaar pe dekho to tamacho'n ke nishaa'n
aankh se ashk to kaano se lahu bhi hai rawaa'n
aapke sar ki qasam..(2)
qaidi hui jab se yahan
phir iske baad...

4. Baba hum gyarah(11) moharram ko safar par nikle
shaam ki samt sabhi qaidi chale rote hue
kaise batlau tumhe..(2)
raah mein jo zakhm mile
phir iske baad...

5. Chalte naaqe se mai ek baar giri mehwe fugha'n
qafila roka gaya qaidi hue nauha kuna
dadi zehra se mili..(2)
soyi thi kuch der wahan
phir iske baad...

6. Baba ek ye bhi qayamat ka sitam tha hum par
shaam ke logo ne barsaye the hum par patthar
pattharo se jo lage..(2)
zakhm dile nazuk par
phir iske baad...

7. Tees ghanto ka safar wo bhi aseeri ki liye
phir bulaya mujhe zalim ne kaneezi ke liye
ye sitam kam to nahi..(2)
aap ki beti ke liye
phir iske baad...

8. Aap ki yaad, tamacho ke sitam, tanhai
dekho taqdeer sakina ko kahan le aayi
baba jis roz se mai..(2)
qaid e sitam mein aayi
phir iske baad...

9. Bayn irfan sakina ke likhe kya mazhar
baap ko khwab mein dekha to pukari dukhtar
aap jis din se gaye..(2)
aye mere mazloom padar
phir iske baad kaha'n soyi sakina, baba