Shama Se Shama Jale,Silsila Jari Rahe,

Hum Rahe Ya Na Rahe, Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale.......


Apni Naslon ko Sikhate Raho,Matam Ka Hoonar,

Seena Dar Seena Kare, Bus Yeh Azadari Safar,

Jaise Halath Bhi Ho, Yeh Amal Jari Rahe,

Hum Rahe Ya Na Rahe, Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale.......


Lakh Badle Yeh Zamane Ki Ravish Aur Mausam,

Ek Pal Bhi Na Ruke Ashk E Aza Aur Matam,

Matam E Sheh Ka Junoon Zahn Par Tari Rahe

Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........


Tum Agar Zakir E Shabbir (As) Ho Yeh Yaad Rahe,

Chahe Is Gam Ke Liye Sar Bhi Kate Ghar Bhi Jale

Hurmat E Farsh E Aza, Jaan Se Pyari Rahe,

Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........


Yeh Sabile Yuhi Aabad Rahe Ahle Aza,

Aur Ghar Ghar Pe Nazar Aaye Alam Gazi(As) Ka,

Yeh Alam Ooncha Rahe, Yeh Alamdari Rahe,

Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........


Duniya Walon Ki Na Parvah Na Kuch Baat Karo,

Mannati Bediyan Sajjad Ke Gam Me Pehno,

Raunake Farsh E Aza Giria O zari Rahe

Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........


Maao Behno Ko Hai Paigam Mera Sirf Yahi,

Aapne Bacchon Ko Juluson Se Nahi Roko Kabhi,

Yeh Shahadat Hai Sharaf, Yeh Sharaf Jaari Rahe,

Hum Rahe Ya Na Rahe Yeh Azadari Rahe.

Shama Se Shama Jale........


Apne