Aye sakhi babul hawaej, aye sakina ke chacha
zainab o kulsoom ki chadar haram ka aasra
aye jaree tum fatema zehra ke dil ki ho dua..(2)

bachho ki aas ho, tum to abbas ho..(2)
pyaase bachho ke labo'n par hai nauha pyaas ka
saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3)

1. Jo hai jaho hasham, uska rakho bharam
karti hai ye buka, bint e shah e umam
aaya hoto'n pe dum, ye lo mashk o alam..(2)
ye na ho pyaas se mar jaye pyaase be khata
mere pyaare chacha... abal fazlil abbas

saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3)

2. Sunlo aye bawafa, al-atash ki sada
shiddat se pyaas ki jeena mushkil hua
kuze haatho mein hai, aur lab pe ilteja..(2)
pani le aao isse pehle ke aaye qaza
mere pyaare chacha... abal fazlil abbas

saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3)

3. Lashkar e ashqiya'n, ghere hai alqama
teen din hogaye, paani nahi mila
ghar ko aaya nahi, maqtal ko jo gaya..(2)
tum to khaibar kusha ke laal ho jao zara
mere pyaare chacha... abal fazlil abbas

saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3)

4. Sab hi din bhar gaye, sadme dekar gaye
zainab ke laadle, bhaiyya akbar gaye
sheh par hone fida auno jafar gaye..(2)
tum hi ho paas tumse aas hai aye bawafa
mere pyaare chacha... abal fazlil abbas

saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3)

5. Dekho sukhi zabaa'n aye meer e karwaa'n
tumse bole nahi to phir jaaye kaha'n
zulmat ki dhoop hai aur tum ho sayebaa'n..(2)
tumto is dasht e bala mein ho sabka aasra
mere pyaare chacha... abal fazlil abbas

saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3)

5. Sunke aaho buka, ghazi e bawafa
leke mashk o alam, dariya ko chal diya
sheh ne thami kamar, zainab ne ki dua..(2)
mere mabood zindabad rahe ye sada

saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3)

6. Pohcha wo bawafa, wo cheeni alqama
mashkiza bhar liya, khaimo ko chal diya
chhid gayi teer se, mashk paani baha..(2)
girte dekha jo alam sheh ne kiya marsiya

saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3)

7. Bazu karke fida, ghode se jab gira
girte hi khaak par aaka ko di sada
pohche shahe umam, laashe pe ki buka..(2)
mujhko ek baar kaho bhai mere bawafa

saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3)

8. Fizza ne di khabar, bibiyo'n peeto sar
tha jiska aasra sogaya nehr par
pyaase ghash kha gaye, ro diye behrobar..(2)
khaimo mein mazhar o irfan ye kohraam tha

saqiya lata shay abal fazlil abbas..(3)

Do laashe aise hai, khaimo mein nahi aaye
ek laasha sarwar ka, ek laasha ghaazi ka