ya hussain

hussain maula hussain
sina pe bol raha hai
hussain ibne ali
lahu me apne naha kar
hazaar sadme utha kar
yazidiyat ko mita kar

khuda ke deen ka parcham baland maine kiya
kisi yazeed me taaqat kahaan jhukaaye mujhe
safar ba noke sina par pasand maine kiya
sune ye saara zamaana hussain ki aawaaz

ashhado an la elaha illalla
ashhado anna mohammad ur rasulallah
ashhado anna aliyun valiullah

qubul is liye neze ki nok ki maine
mera kata huwa sar dushmanon se past na ho
mein sar uthaaye huwe dushmanon se kehta hun
hussain hota wahi hai jise shikast na ho
mere azaadaaro ay mere ghamkhaaro
tumhaare azm ko mera salaam

maula hussain sarkaar farmaate hain
ye mera ishq hai jo lahu banke tumhaari ragon me daur raha hai
rahe salaamat ta qayaamat
rahe salaamat ishqe hussaini
range wafa dikhlaata hai
warna kaun kisi ki khaatir
apna khun bahaata hai

rahe salaamat ta qayaamat
rahe salamat ishqe hussaini
range wafa dikhlaata hai

ye kaale kapre jo zebe tan hain
ishqe hussaini ki hai daleel
jhule amaari taaziyadaari
sina zani paani ki sabil
ehle aza ko ye tehzeebe
ishqe hussain sikhaata hai

ye chote bachche aur shab bedaari
yun to bara mushkil hai safar
socho agar tum ahle zamana
ishqe hussaini ka hai asar
ishqe hussain hi in bachchon ko
farshe aza tak laata hai

dekho zara tum kaabe me jaakar
sirf musalmaan honge wahaan
farshe aza wo waahid jagah hai
apne paraaye sab hai jahaan
aata wahi hai farshe aza par
jisko hussain bulaata hai

wo jo bina-e farshe aza hai
ham hain usi bibi ki duaayen
ishqe hussaini tha uske dil me
aur ham ko virse me mila
jisko mila virse me ye maatam
ahle aza kehlaata hai

ishqe hussaini dil me basaa kar
zinda rakhi ghazi ne wafa
jis ne wafa ko zinda rakha hai
baali sakina ka hai chacha
usko dua deti hai sakina
jo bhi alam ko uthaata hai

ishqe hussaini se hain namazein
ishqe hussaini farshe aza
ishqe hussaini sholon pe chalne
sina zani zanjeer o kama
ishqe hussaini ki taaqat se
maatami khun me nahaata hai

suno mazhar o irfan
ay azaadaaraane man
yehi wo shohada-e karbala hain
jinhon ne halmin ki sada par labbaik kaha
aur mere iskq me apni jaanon ka nazraana pesh kiya

muslim bin awsaja, anas bin haaris
burayre hamdani, hanzala bin asad
abdur rahman gaffaari, saif bin haris
hur, habib, john, abusamama
umro bin ansaari, shojab bin abdullah
aabis bin shabib, abdullah gaffari
wahbe kalbi, abu shahasa
shabeeb bin abdullah, ammar ibne hassan
junada bin kaab, junada bin haris
saeed ibne haaris, zohair ibne qain
saif bin malik, noman ibne umar
nafi ibne hilaal, salman ibne mazarib
ali bin hur, musab reyahi
sawaar ibne umair, umar bin jandab
zargaama bin malik, aslam ghulame turki
imran bin kaab, qarib bin abdullah
muslim bin kasir naeem bin aglan
abdullah bin sabeet, umar bin khaalid
saeed ibne abdullah, jaabir ibne hajjaz
bakar ibne haai, hajjaj bin masruk
abdullah bin muslim, mohammad bin muslim
jafar ibne aqeel, abdur rahman ibne aqeel
habsha bin qais, zahid bin umro
sawair ibne umro, nasar bin abi naizar
abdullah bin umair, umro bin ansari
habab bin aamir, habab bin haaris
haaris ibne binhan, jundab ibne hajeer
ammar ibne abi salama, munjaeb bin sahem
mohammad bin saeed, mohammad bin abdullah
aon bin abdullah, qasim ibne hasan
mohammad bin hasan, mohammad bin ali
abdullah bin ali, imran ibne ali
jafar ibne ali, abdullah bin hasan
abbas ibne ali, ali asghar
ali akbar, maula hussain