sajjad haay sajjad

ek nauha khwaan tasawwur me
jab shaam ki galiyon me pahoncha haaye
hamraah asiron ke us ne
ek laagar kaidi ko dekha
jo tauq o salaasil me jakra
kaanton par chal kar aaya hai
kuch nezo par quran numa
sar apne saath me laaya hai

allah jaane kaisa saabir banda hai
ye kaisa saabir banda hai
maa behnon phuphiyon ko lekar
ek qaidi shaam me aaya hai

jakra hai masaayeb ne is ko
zanjeer ba zaahir pehne hain
ye sar to jhuka hai ghairat se
kyun tauq musaafir pehne hain
lagta hai masaayeb ka ye khuda
insaan ke bhes me aaya hai

atfaal bhi qaidi hain saare
aur saath haya ki shahzaadi
khaamosh zabaan hai qaidi ki
par zakhm huwe hain faryaadi
kuch karta nahi faryaad o buka
aankhon se khun bahaata hai

beghar hai musaafir hai lekin
na sina zani na nauhagari
jo shakhs bhala khamosh rahe
kaanton pe musaafat ho jis ke
hai dhup masaaayeb ki sar par
phir bhi qaidi be saaya hai

aata hai nazar jo neze par
hai is qaidi ke baap ka sar
wo sar bhi sina par rota hai
kya dard bhala hai ye manzar
ye wo saabir hai jis ke liye
quraan tilaawat karta hai

maa behn phuphi hain bechaadar
ye zakhm jigar par hain gehre
insaan me kaha taaqat itni
ye zakhm sahe aur zinda rahe
zanjeer lipat kar kadmon se
aur tauq gale ka kehta hai

har gaam baraste hain patthar
aur us pe tamaashaayi dunya
yun sar ko jhuka kar chalta hai
jaise ho koyi zinda lasha
kya koyi bashar is duniya me
khud apni laash uthaata hai

ek phul si naazuk bacchi hai
us par bhi jafa hai durron ki
jab haay chacha wo kehti hai
sar peet ke rote hain qaidi
khud rota nahi rone waale
har qaidi ko samjhaata hai

bacchi ko tamaache lagte hain
ye zakhm jigar par khaata hai
uthti hain nigaahen zainab par
ye khun ke aansu rota hai
khud pyaasa hai par khun dekar
durron ki pyaas bujhaata hai

irfan aur mazhar kya ho bayaan
sajjad ki ghurbat ka aalam
qirtaas o qalam khun rote hain
alfaaz bhi karte hain maatam
ye nauha qayaamat hai lekin
rona is baat pe aata hai

allah jaane kaisa saabir banda hai
ye kaisa saabir banda hai
maa behno phuphiyon ko lekar
ek kaidi shaam me aaya hai
allah jaane kaisa saabir banda hai