ay mere asghare bezabaan
tujhe dhundne jaawun kahaan
asghar haaye asghar asghar haaye asghar

ay che mahine waale tujhko mera salaam
asghar haaye asghar asghar haaye asghar

ay shaahedeen ke dilbar
ay ruhe qalbe maadar
ay tashnakaam asghar
ay bezabaan asghar

shikwa na karna asghar
paani nahi mayassar
aansu bahake maine
turbat ko kar diya tar

tashnaalabi pe teri
giryaan hai ye khudaayi
mazlumiyat ne teri
insaaniyat jagaayi

baanu bhi ro rahi hai
kis darja bekasi hai
asghar teri lahad par
khud maut keh rahi hai

pucho ali ziya se
irfan karbala se
baanu ke dil ko denge
ye lafz hi dilaase

taarikhe karbala ko
parh kar anees dekho
dushman bhi sar jhukaaye
kehte milenge tumko

ay che mahine waale tujhko mera salaam
asghar haaye asghar asghar haaye asghar