Haay, zindaa(n) ki qayd kaatke, jab saniy-e-zehra, ponchi watan to koi bhi pehchaan na paaya, are abdullah bin jaffar-e-tayyar ne puche, tu kon hai kya naam hai tera zaeefa, Ye sunke fugaa karne lagi saniy-e-zehra, are zawja hu aap ki mujhe pehchaano khudara, (mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2

    (Pehchaano khudara) x2 Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
    Baalo ki safedi ka sabab pucho na mujhse, in ankho ne dekhe hai sitam karbobala ke, ghar lut gaya sadaat, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
    Chehre se numaya jo mere karbobala hai, ye haal to Abbas ke marne se huwa hai, chuta wo sahara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
    Ik zakhm hai qasim ka mere kalb-o-jigar me, jo chaand ujaalo ka sabab tha mere ghar mei, wo bhi gaya mara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
    Bas bhaayi ki matam mei rahi qayd bhi kaati, leykin mei kabhi awn-o-muhammad ko na rowi, ab deti hu pursa, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
    Bazaar mei abid pe zaeefi huwi taari, wo aaj bhi rota hai aseeri pe hamari, ghamkhwaar hamara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
    Are sadaat ke halke me mujhe aake chupaaya, jab shaam ke hakim ne mera naam pukaara, us ranj ne maara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
    Shiree(n) se mulakat huwi raah mei ik baar, pehchaan nahi paayi mujhe wo bhi dilakar, dil roke pukaara, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
    Sab ghayr kujaara hai damishkaar kuja mei, karbal se chali hogaye khud karbobala mei, zulmat ka safar tha, pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x4
    "Irfan" ye alfaaz jo "Mazhar" ne likhe hai, insaan to kya cheez hai patthar ko rula de, jaise ke ye jumla pehchaano khudara, Mujko to jite ji gham-e-shabbir ne mara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2
    (Pehchaano khudara) x2 Mujhe jit-e-ji gham-e-shabbir ne maara

    (Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2
    (Pehchaano khudara) x2 Mujhe jit-e-ji gham-e-shabbir ne maara

(Mei awn-o-muhammad ki maa hu) x2