
Aaye jo kabre fatema pe sayad-e-anaar rukhsaar rakh ke kabr pe rokar kiya kalaam, Sehra me dil ke tukro ki basti basawunga, Amma madina lawt ke aa na paawunga, kaampa falak larazne lagi qabr-e-sayyeda, ayi janaab-e-fatema ki qabr se sadaa
(Jaao mere laal) x4 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
(jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
Jaa rahe ho tum jo kehke deen haq bachawunga (Amma aap ki kasam me khoon me nahawunga) x3 Ab ho jo bhi haal, tum ho payemaal, tum pe har qadam rahe dua meri
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal (Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
Bachpane mei jo kiya tha wada babajaan se (waqt ab wo agaya kafan ko sar se baandhne) x3 Dekh mere laal, dee(n) ka hai sawaal, kamyaabiya hai tere saath hi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
(Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
Chahiye khuda ke deen ko aghar amaa, (wo ridaay-e-zainab-e-hazee(n) ka sayebaa(n)) x3 Jawo ab shidad ibn-e-buturaab, mei tumhare saath babajaan bhi,
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal (Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
Deraha hai deen-e-kibriya tumhe salaam (almadad hussain almadad shah-e-huda) x3 Mei watan hussain, mere dil ke cheyn, hamsafar tumhare saath maa huwi
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal (Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
Shaan-e-baba faq honge jis gari kalam, (rowenge alam ke saaye mei tere haram) x3 rowengi wafaa aur karbala, rowengi faraat aur tashnagi
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal (Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
Akbar-e-jawaa(n) jigar pe khayenga sina, (maa kahengi mera chaand khogaya kaha) x3 uspe nohakhwaan, honge meri jaan, mei bhi aur hassan bhi aur rasool bhi
Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal (Jaao mere laal) x2 Tum pe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
Ye sadaa mazar-e-sayyeda se "mazhar abidi" (sunke rodiyey hussain mustafa ki aal bhi) x3 Jaawo mere laal, jaawo mere laal, tumpe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal
Social Plugin