Jab shaam ke bazaar mei, saydaaniya aayi, are chadar ki jaga khaak-e-safar, baalo pe laayi. Naa gaah jab ghazi ki nazar kulsum tak aayi, are sar khaak par, abbas ne neze se giraaya. Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar

Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2

    Ik gayyur wafadaar pe ab aur sitam kya honga, jiski chadar ka muhafiz tha wohi aaj huwi beparda, shaam walo mei se ehsaas-e-doraan-e-safar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar

    Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
    Gir gayi raah mei naake se sakina to ye zainab ne kaha, Ik chacha aur bhatiji ki muhabbat to zara dekh khuda, pusht naaka pe sambhalti nahi sheh ki dukhtar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar

    Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
    Shaam ke log tamashaayi bane aur tamaasha saadaat, Bewatan aur khule sar hai sar-e-raah kare kya saadaat, khun ankho se bahaate hai shah-e-jinn-o-bashar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar

    Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
    Aandhiyo khaak urhaawo ka bane isse haram baparda, gunji jab shaam ki gham nok fazaawo mei ye zainab ki sada, aasma(n) rone laga rowi zami(n) ye kehkar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar

    Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
    Chashm-e-sajjad se behne lage us waqt lahu ke dhaare, jab ke masoom sakina ko sitamghar ne tamaache mare, laasha sahil pe tarapta hai udhar aur idhar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar

    Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
    Rone walo sar-e-bazaar khule sar thi ali ki beti, ghir gaya farq-e-wafadaar jo neze se to heyraa(n) the shaqi, Pucha abid se sitamghar ne bataawo kyu kar, noke neza pe teherta nahi abbas ka sar

    Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
    Saath sadaat ke shehzaadiy-e-kawnaain safar karti rahi, nawha karte hai nabi khaak urha te hai hassan aur ali, haay kya waqt hai rote hai sina par sarwar noke neza pe teherta nahi abbas ka sar

    Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
    Kabhi layla kabhi farwa kabhi kalsum kahe wawayla, chehra balon se chhupate huwe zainab ne yahi ro ke kahaa(n), amma fiza zaraa dekho to ye gham ka manzar noke neza pe teherta nahi abbas ka sar

    Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2
    Nawha likhte huwe "irfan" ye "mazhar" ne kahaa tha rokar, kon qirtas pe laasakta awlade payambar ka safar, rodiye qalb o jigar aik hi misra likhkar noke neza pe teherta nahi abbas ka sar

Dar hai kulsum ke chehre pe na parh jaaye nazar, (noke neza pe teherta nahi abbas ka sar) x2