Zindan ki tarikiyoo mei, apne sine se lagaaye huwe shabbir ka sar. Sakina kehti thi, baba, baba, suno mera safar

Are (sab ke the shaane bandhe, mera bandha tha ghala) x2

(Mei panjo pe chalti rahi baba) x3

    Aap se kaise kahu, kaise kata wo safar, aal-e-payambar chali rote huwe nange sar (aap chale neze par, kanto pe bhayi chala) x2

    (Mei panjo pe chalti rahi baba) x3
    Mere phuphi raah me ashk bahati rahi, Zulm rulaate rahe dhoop jalaati rahi (zakhm mere pawo ka dhoop se jalta raha) x2

    (Mei panjo pe chalti rahi baba) x3
    Mazi ke kuch waakayey yaad jo aye muje, sine pe kaise muje aap sulaate rahe (Yaado mei yu kho gayi bhul gayi har jafaa) x2

    (Mei panjo pe chalti rahi baba) x3
    Sabr ka daman mere haath se chuta nahi, neze se kya aapne baba ye dekha nahi (kichti rahi reesima chalta raha kafla) x2

    (Mei panjo pe chalti rahi baba) x3
    Ankh barasne lage kalb huwa nawha ghar, aya nazar jab muje neze pe asghar ka sar (Roti rahi mei use wo muje rota raha) x2

    (Mei panjo pe chalti rahi baba) x3
    Tumko kafan dediya reyt kei tufaan nei, Baalo se parda kiya meri phuphi jaan ne (Aur mere dard ka koi madaawa na tha) x2

    (Mei panjo pe chalti rahi baba) x3
    Raah me ammu ko jab dekha to maine kaha, kholdo meri rasan god mei leylo chacha (Dekhke rote rahe meri aseeri chacha) x2

    (Mei panjo pe chalti rahi baba) x3
    Chen mayassar muje aa na saka aik pal, zakhmi gala hogaya aur mere pawu shal (Raat safar mei kati din bhi safar mei kataa) x2
    Baba madine ke wo din bhi muje yaad hai, sabz amari mei jab beyt ke jaati thi mei (Aaj zara dekhiye, kaise safar teykiya) x2

    (Mei panjo pe chalti rahi baba) x3
    Ek rasan mei bandhe chothe baro ke ghale, lasho pe rote huwe karbobala se chale (Haal mera dekh ke rone lagi karbala) x2

(Mei panjo pe chalti rahi baba) x3