Qafla hussain ka
Ek shab hazrat-e-shireen ne khwab kya dekha,
sarhaane eik zaeefa ye kar rahi hai bukaa,
mere hussain ne kal tujse kiya tha wada,
mei tere ghar kabhi aawunga, aagaya, uth jaa.

Jaag shireen, jaag ja, ay kaniz-e-bawafa,
aa raha hai ghar tere (Qafla hussain ka) x4

1. Haay, mere bache ko sitamgharo ne tarpaya hai,
dasht mei ghair liya paani ko tarsaya hai,
haaye is zulmo masaaib mei use yaad raha,
apna wada wo nibhane ke liye aya hai

Jaag shireen, jaag ja, ay kaniz-e-bawafa,
aa raha hai ghar tere (Qafla hussain ka) x4

2. Haay, kya khabar tujko mere gar ko ujada haay haay,
kistarha se mere shabbir ko mara haay haay,
neza akbar ke kaleje mei utara haay haay,
phir bhi bhulaa na tere wade ko pyaasa haay haay

Jaag shireen, jaag ja, ay kaniz-e-bawafa,
aa raha hai ghar tere (Qafla hussain ka) x4

3. Haay, pani lene ko gaya nehr pe Abbas mera,
chid gayi mashk kate haath alam thanda huwa,
mere bache ki kamar toot gayi phirbhi use,n
aam Allah ka aur wada har ek yaad raha

Jaag shireen, jaag ja, ay kaniz-e-bawafa,
aa raha hai ghar tere (Qafla hussain ka) x4

4. Haay, Mere besheer ko pani ke ye baz teer mila,
uske bachpan ko jawaani ke ye baz teer mila,
har sitam sehke tere ghar ki taraf aata hai,
jisko ummat se nishani ki ye baz teer mila

Jaag shireen, jaag ja, ay kaniz-e-bawafa,
aa raha hai ghar tere (Qafla hussain ka) x4

5. Haay, zakhm itne hai kaleje ka bura haal huwa,
dasht mei ibn-e-hassan ghoro se pamal huwa,
khun se dasht-e-bala laal huwa aur darya,
ye sitam sehke mera laal tere ghar ko chala

Jaag shireen, jaag ja, ay kaniz-e-bawafa,
aa raha hai ghar tere (Qafla hussain ka) x4

6. Haay, do pisar zainab-e-dilgeer ke kurban huwe,
haye bin pani ke wo phul bhi bejaan huwe,
sare Paiman wafaa pure huwe maktal mei,
ab tere aka tere shehr mei mehmaan huwe

Jaag shireen, jaag ja, ay kaniz-e-bawafa,
aa raha hai ghar tere (Qafla hussain ka) x4

7. Haay, gyaarwi subho haram chor chale dasht-e-kitaal,
reyt lasho ka kafan chehr ka parda huwe baal,
sar shaheedo ke sar-e-noke sina qayd haram,
is gharibi mei raha unko magar tera khayaal

Jaag shireen, jaag ja, ay kaniz-e-bawafa,
aa raha hai ghar tere (Qafla hussain ka) x4

8. Haay, ho gayi poori tere dil ki duwa jaag zara,
hai yahi teri wafaao ka sila jaag zara,
ghar ka har gosha aza khaana banade uthkar,
tera aka tera mehman huwa jaag zara

Jaag shireen, jaag ja, ay kaniz-e-bawafa,
aa raha hai ghar tere (Qafla hussain ka) x4