zindaan hai sakina hai andhera hai jafa hai
kya khabr ka manzar hai ujaala na hawa hai

neend aati nahi bachon ko jab tak na ho maadar
paas iske na maadar hai na baba na chacha hai
kya khabr ka manzar hai ujaala na hawa hai
zindaan hai sakina hai....
___________________________________

tumko nahi kuch dard ka ehsaas kahan ho
ghayre hai mujhe ranj-o-alam tum kahan ho
marjaaungi zindaan ke andhere may tadap kar
ay mere chacha jaan abbas kahan ho
___________________________________

zindaan may kise bali sakina ne pukara
us laasha sar-e-karbobala uthne laga hai
kya khabr ka manzar hai ujaala na hawa hai
zindaan hai sakina hai....

abbas chacha aake ghar leke chalenge
ab der may jo bibi ka bharam tooth raha hai
kya khabr ka manzar hai ujaala na hawa hai
zindaan hai sakina hai....

khamosh ho tum kyon nahi baba ko bulaati
tareekhi zindaan may ye zainab ki sada hai
kya khabr ka manzar hai ujaala na hawa hai
zindaan hai sakina hai....

mai bali sakina ka azadaar hoo rehaan
nohay ka har ek sher sakina ki ata hai
kya qabr ka manzar hai ujaala na hawa hai
zindaan hai sakina hai....