karbala walon pe ye kaisa moharram aaya
khoon tapakta huwa abbas ka parcham aaya
karbala walon pe....

jaise jaise mere ghazi ka alam jhukta gaya
pusht may hazrate shabbir ki bhi qam aaya
khoon tapakta huwa abbas ka parcham aaya
karbala walon pe....

karbala dekhle islam bachane ke liye
saath kunbe ko liye waarise aadam aaya
khoon tapakta huwa abbas ka parcham aaya
karbala walon pe....

zaalimo isko to do boondh pilado pani
ab labon par mere baysheer ka hai dam aaya
khoon tapakta huwa abbas ka parcham aaya
karbala walon pe....

saare mausam to guzar jaate hai aakar lekin
bas hamesha ke liye mausam-e-matam aaya
khoon tapakta huwa abbas ka parcham aaya
karbala walon pe....

chand rehaan nazar aaya moharram ka idhar
khuld may ashk meri aankh may payham aaya
khoon tapakta huwa abbas ka parcham aaya
karbala walon pe....