Sada ye deti thi bint e Ali Hussain ke baad
Nahi hay maut se kam zindagi Hussain ke baad

Jahad karti gayi Karbala se Shaam talak
Ali ki ban gayi beti Ali Hussain ke baad

Ali ki beti ne shamsheer e istiqamat se
Badal di jang ki takheer bhi Hussain ke baad

Galay may tauq rasan basta paoon may berri
Yehi hay waris e Aali Nabi Hussain ke baad

Kaha ye zoja e Hur se tarrap ke Zainab se
Mitanay aayi hoon tashna labi Hussain ke baad

Wo jis may jang karain sheer khawar bachay bhi
Phir aisi fouj na dekhi gayi Hussain ke baad

Rehan Aazmi jaisi namaz Sheh ne parrhi
Ada na ho saki ab tak kabhi Hussain ke baad