darya se laut kar na alamdaar aa sake
afsos bekason ke na ghamqaar aa sake

wo teen din ki pyas wo garmi labe firaat
aale rasool pyas na apni bhuja sake
darya.........

jhuk kar kamaan hogayi mazloom ki kamar
abbas tera laasha na sarwar utha sake
darya.........

kehkar jahaan se chaldiye abbas-e-bawafa
aaqa mera janaza na qaimo may jaa sake
darya.........

darya se pani laake gira dete thay layeen
asghar ko ek boond na pani pila sake
darya.........

awaaz do abbas ko zindaan-e-shaam may
tashna dahan sakina ki turbat bana sake
darya.........