jhoola veeran hai aur godh bhi khali asghar
maa ko batla de kahan basti basali asghar

sar pe chadar jo na thi ronay kafan ki soorat
khakh maqtal ki teri laash pe dali asghar
jhoola veeran hai....

maar kar teer tabassum ka sitam jo roko
aabru deen-e-mohammad ki bacha li asghar
jhoola veeran hai....

bhool jaaye tera gham bali sakina kaise
teri soorat hai kahan bhoolne waali asghar
jhoola veeran hai....

baab-e-khaibar jo uthaate to na hoti diqqat
laash sarwar ne teri kaise uthaa li asghar
jhoola veeran hai....

maut ghabragayi maathe pe paseena aaya
maut ki aankh may yun aankh hai daali asghar
jhoola veeran hai....

kaise ho jaaye kisi dar ka bikhari rehaan
hai azal se ye tere dar ka sawaali asghar
jhoola veeran hai....