hai waqt-e-azaan aa ali akbar azaan de
bolay pisar se sipt-e-payambar azaan de

ye aakhri azaan hai sajda bhi aakhri
arsh-e-bari pe sunte hai aaider azaan de
hai waqt-e-azaan aa....

thandak milay rasool ke rauze pe mere laal
ek aag si hai seene ke andar azaan de
hai waqt-e-azaan aa....

naam-e-khuda rasool ka baakhi rahega deen
is deen ke baqa ke muqaddar azaan de
hai waqt-e-azaan aa....

kehti hai ye madine se ye aati hui hawa
sughra bhi muntazir hai biradar azaan de
hai waqt-e-azaan aa....

fauj-e-adoo ko haq ki sadaqat dikhaai de
naad-e-ali ke zor par uthkar azaan de
hai waqt-e-azaan aa....

jiska gala nabi kai labon ki ho janamaaz
phir wo gala na kyon tah-e-khanjar azaan de

chalte hai teer kitne namazi hai khoon may tar
ay mere laal sabr se sehkar azaan de
hai waqt-e-azaan aa....

rehaan ye namaaz-e-aqeedat ka waqt hai
nowho ko tu azaan banakar azaan de
hai waqt-e-azaan aa....