Dastan hai anokhi yeh tariq ki,
Ek bahen ek bhatiji aur ek bhai ki
Dastan gham ki yeh jab bhi humne suni
Dil se aawaz bas yeh hi obhri

Haaye abbas zainab sakina
Tum ko rote hai ahle madina

Naher par who jari jiske bazu kate (2)
Haath rassi me badhe gay ek ke (2)
Haal kese sakina ka likhkho
Jisse chuta hai baba ka sina

Ek bachchi jo baba ki thi ladli (2)
Teen din dashte gurbat mei pyaasi rahi (2)
Baliya uski khichi laeen ne
Dil mei zalim ka tha kitna kina

Ek bahen jiske bete fida hogaye (2)
Dil ke tokde the likin juda hogaye (2)
Jaane mamu pe di sabse pehle
Surkhru yu hoyi ek bahena

Woh jo saqqa e ehle haram tha suno (2)
Jiske kandho pe din ka alam that suno (2)
Jisko pyaasi sakina ka gham tha
Jisne aada se darya ko china

Saaniye zehra jiska laqab tha wohi (2)
Bhai jiska tha abbas jesa wohi (2)
Baap jiska shahe lafata tha
Aayi bazaar mei sar barehana

Jiske kaanu se chini gaayi baliyan (2)
Jisne khaye tamache sahi jidkiyan (2)
Uske gham ka baya kis tarha ho
Gham se phut jaayega mera sina

Jiske marne se she qamar juk gaayi (2)
Jab sanu us jari ko qaza aagayi (2)
Aas paani ki bachcho ne chodi
Gash hooyi haye bali sakina

Rok apna kalam ey rehan azmi (2)
Dil tadpne laga aankh rone lagi (2)
Tere nauha se ehle aza ka
Hogaya gham se labrez sina

Haaye abbas zainab sakina
Tum ko rote hai ahle madina