Kehti thi zainab ke hai nana khabar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Aayi ho purse ke liye kabr par
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Kese sunao mei who sab waqeya
Puche hai jis tarha se hum karbala

Ummate aasi ne sitam kya kiya
Neher se khaimo ko hataya gaya
Narga kiya ashkiya ne aan kar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Gherliya ashkiya ne aan kar
Gherehoye ghat ko zalim ne sab
Uskiwaja se howa ranjo tahab
Pyaas se masoom hoye jabalab
Khaime me tha sor buka kis kadar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Hogi ashur ki shubhe aayaan
Nana sunge karo aagay bayan
Bhai ne akbar se kaha do azaan
Bholegi zainab na kabhi woh sama
Hashr se woh kam na thi nala safar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Laila ka ek beta tha eysa jawan
Aap ka ho jatatha jis par gumah
Murra ne ek sine pe mari sina
Tokde jigar ho gaya bholi na maa
Bethi hai woh dekhiye thame jigar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Bekasi us waqt thi kitni muzaf
Jab kiya akbar ne yeh ran se bayan
Yaa bata alayka minni salaam
Thokare khate chale ran ko imam
Kehte the majror tha noore nazar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Hay woh kasim mera ibne hasan
Jiska kiya godho ne tokde badan
Baandh ke gathri mei woh pamal taan
Laaye buka karte yeh shahe zaman
Dekho yeh bhabhi mera tokde jigar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Nana woh mehshar se khadi kam na thi
Bahi se abbas ne rukhsat jo li
Baba ki talfin bhi yaad aagayi
Sar se rida aab meri chin jaayigi

Bazuo mei daali mukarar nazar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Hay woh abbas mera bawafa
Ban ke beheteer sakina chala
Neher se mashkize mei paani bhara
Aata tha darya pe sue kalmaga
Ghere laaeno ne ali ka pisar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Nawale maloon ne dhaee jafa
Dahena bazo kiya tan se juda
Chupke hakim aagay kuch eyse bada
Baya bhi jarrar ka bazu kata
Hurmala ka teer laga mashk par
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Auno muhammed ka karo taskera
Bhai pe un dono ko sadqa kiya
Kese ho abdullah ab samna
Puche jo unko tu kaho unse kya
Mujhe se kafa ho gaye dono pisar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Teen shabo rooz se tha tashna lab
Asghere beshir howa jabalab
Mujh pe howa nana yeh haye gazaab
Surkh howa dodh bhi madar ka saab
Hurmala ne cheda hamara jigaar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Nana yeh sab hote jafa dekha ki
Kalb ko mere abhi taskin thi
Sar pe hai baki abhi sibte nabi
Itne mei awaaze biradar suni
Chal bata karte hai hum bhi safar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Kalb pe guzri hai sun ke bayan
Nazro mei tariq howe do jahan
Ban gayi sedaniyo ki hichkiya
Khaimo se uthne laga shuro fuga
Dikne kisi ko nahi aata nazar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Neze pe sar kat ke she ka rakha
Laash ko pamal jafa se kiya
Khaimo mei phir aagaye sab ashkiya
Rando ka sab zevaro zar leliya
Chini rida khaima har ek dhoond kar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Aag ke woh shole the ke allama
Rok ta tha saas ko har dum dhowan
Khaime mei sajjad mera natawan
Shidate tapse tha pada niljaa
Jala gaya hota jo na leti khabar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Bhai ka baki tha yehi ek nisha
Marte the usko ado sehliya
Ahle muhaammad ko nahi thi amaa
Dhate the har zulmo ado bekarar
Nargaye ada mei the hum nange sar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Koi annes apna waha par na tha
Zulmo jafa se jo un rok ta
Bali sakina ke nayi rosiya
Khech ke kano se gohar legaya
Khoon se tab kurta howa uska tar
Ho gaya pardes mei barbad ghar

Kehti thi zainab ke hai nana khabar
Ho gaya pardes mei barbad ghar